Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abhi Khanjar Na Chala

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Abhi Khanjar Na Chala is an Urdu lament presenting Sayyida Zainab’s plea at the battlefield of Karbala. It retains the nine-section excerpt and the refrain as written.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Abhi Khanjar Na Chala Lyrics

WA

Jab Gire Ghode Se Maqtal Mein Shah-e-Karb-o-Bala
Khanjar-e-Zulm Liye Shimr-e-Sitamgar Badha
Di Tadap Kar Dar-e-Khaima Se Yeh Zainab Ne Sada
Abhi Khanjar Na Chala, Abhi Khanjar Na Chala

Loot Mat Behr-e-Khuda Fatima Zahra Ka Chain
Aur Kuch Der Thehar Ja, Are Zalim, Ke Hussain
Bakhshish-e-Ummat-e-Jadd Ki Abhi Karte Hain Dua

Dasht-e-Ghurbat Pe Musafir Ko Hai Ghera Zalim
Kya Bigada Hai Mere Bhai Ne Tera Zalim
Kya Khata Hai Mere Bhai Ki Bata Behr-e-Khuda

Teen Din Ho Gaye Pyasa Hai Nabi Ka Jani
Zibh Karna Hai To Do Ghoont Pila De Pani
Kund Khanjar Hai Mere Bhai Ka Sookha Hai Gala

Bosa-Gah-e-Nabawi Hai Yeh Gala Ae Zalim
Sheh-Rag-e-Deen Pe Khanjar Na Chala Ae Zalim
Choomte The Isi Halqum Ko Mehboob-e-Khuda

Chhod Kar Khuld Zara Fateh-e-Khaibar Aa Le
Aur Kuch Der Thehar Ja Ke Payambar Aa Le
Aati Hi Hongi Woh, Aa Lene De Amma Ko Zara

Sheh-Rag-e-Deen Pe Chalta Hua Khanjar Dekhein
Aa Ke Zahra-o-Nabi Bhi To Yeh Manzar Dekhein
Door Hai Rah-e-Najaf, Aate Hi Honge Baba

Kya Karun, Jaun Kahan, Kis Ko Pukarun Bhai
Kaise Dekhegi Tumhein Todte Dam Maa-Jayi
Ya Ilahi Mujhe Shabbir Se Pehle Le Utha

Haye Kis Dil Se Karun Tazkira-e-Jaur-o-Jafa
Kat Gaya Samne Zainab Ke Shah-e-Deen Ka Gala
Cheekhti Reh Gayi Zainab Sar-e-Maqtal Ba-Khuda

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
The final moments of Imam Hussain, Lament of Sayyida Zainab, The sacrifice of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.