Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Afzal Hai Farishton Se Jo Woh Nau-e-Bashar Hoon

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduSayyida Fatima ZahraMuharram
Afzal Hai Farishton Se Jo Woh Nau-e-Bashar Hoon is an Urdu noha reflecting on love of the Ahlulbayt and the sacrifice of Imam Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Afzal Hai Farishton Se Jo Woh Nau-e-Bashar Hoon Lyrics

WA

Afzal Hai Farishton Se Jo Woh Nau E Bashar Hoon
Mein Fatima Zehra Ki Duaon Ka Asar Hoon

Hai Matam E Shabbir Mera Maqsad E Takhleeq
Mein Nakhlay Tamanna E Mohammad Ka Samar Hoon

Jo Log Mitanay Pe Tolay Thay Mujhay Kal Tak
Woh Ho Gaye Khud Aaj Fasana Mein Magar Hoon

Shabbir Ki Nisbat Se Hoon Sad Rashkay Sulayman
Shaahi Meri Thokar Mein Hai Go Khaak Basar Hoon

Jo Poochna Ho Pooch Lo Ye Kehtay Thay Haider
Jo Ilm Ka Maskan Hai Mein Uss Sheher Ka Dar Hoon

Ye Nazd Meri Damanay Zehra Ke Liye Hai
Palkon Pe Chupaye Jo Mein Ashkon Ke Gohar Hoon

Kehtay Thay Saray Razm Ye Abbas Ke Tewar
Shabbir Pe Aanch Aa Nahi Sakti Mein Agar Hoon

Taigh O Tabar O Teer O Sinaa Hi Mein Pala Hoon
Abbas Hoon Mein Abbas Mein Haider Ka Pisar Hoon

Sau Baar Maroon Aur Jiyoon Phir Bhi Yoon Hi Mein
Shabbir Ke Bachon Ke Liye Seena Sipar Hoon

Sarwar Ki Sadaon Pe Sada Dete Thay Akbar
Baba Mein Idhar Hoon Mein Idhar Hoon Mein Idhar Hoon

Sheh Kehtay Thay Aye Nooray Nazar Phir Se Sada Do
Kuch Soojta Mujko Nahi Akbar Mein Kidhar Hoon

Mein Kya Karoon Beta Ke Mera Bas Nahi Chalta
Barhtay Hain Qadam Jaanay Kahan Rakhta Kidhar Hoon

Inn Ankhon Se Phir Dekh Loon Tasveer E Payambar
Soorat Ko Tarasta Mein Teri Lakhtay Jigar Hoon

Peeri Mein Uthaoonga Jawan Laal Ka Laasha
Zinda Mein Issi Din Ke Liye Jaanay Pidar Hoon

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Imam Ali, Ali Akbar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.