Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Akbar Ghar Aja

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduMuharram
Akbar Ghar Aja is a 2025 Noha recited by Irfan Haider, written by Zeeshan Abidi. It portrays Bibi Sughra (SA) waiting in Madina for her brother Hazrat Ali Akbar (AS), praying for his return from Karbala. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Akbar A S Ghar Aja

Lyrics

Akbar Ghar Aja Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Akbar Ghar Aja

Akbar Ghar Aja

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Akbar Ghar Aja

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Andhere Ghar Mein Sughra Diye Jalati Hai
Jab Dil Ghabrata Hai, Jab Yaad Satati Hai
Beemar Behen Tujh Ko Ro Ro Ke Bulati Hai
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Yaad Mein Teri Ro Ro Kar Mar Jayegi Sughra
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Tu Door Hai Mujh Ko Yeh Gham Hai
Baba Ki Tujhe Qasam Hai
Main Takti Rahi Tera Raasta
Madine Se Tu Jab Gaya Karbala
Karbala, Karbala, Haaye Karbala
Mujh Ko Bhi Le Chal, Poora Kar De Waada
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Ab Katte Nahi Hain Din Aur Raat
Main Kaise Jiyun Tere Bin
Yahan Aa Gayi Mujhe Maut Agar
Mere Bhai Aana Meri Qabr Par
Qabr Par, Qabr Par, Haaye Qabr Par
Nana Ki Ja Kar Karti Hoon Roz Dua
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Aawaaz Mein Teri Jeete Ji
Main Phir Se Azaan Sun Loon
Tujhe Dekhna Hai Mehrab Mein
Tu Ek Baar Aa Ja Mere Khwab Mein
Khwab Mein, Khwab Mein, Haaye Khwab Mein
Maine Dekha Hai Zakhmi Tera Seena
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Akbar Yeh Tamanna Hai Meri
Main Shaadi Rachaun Teri
Behen Bhai Hum Dobara Milen
Barhani Hain Bhaiya Mujhe Mannatein
Mannatein, Mannatein, Haaye Mannatein
Maani Hain Maine, Dekhun Tera Sehra
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Jab Chaand Muharram Ka Dekha
Dil Mera Tarap Ke Bola
Khuda Se Yehi Dua Maine Ki
Barha De Mere Bhai Ki Zindagi
Zindagi, Zindagi, Haaye Zindagi
Meri Bhi Tujh Ko Lag Jaaye Mere Bhaiya
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Sughra Ne Khat Mein Zeeshan
Aur Irfan-e-Aza Yeh Likha
Sar-e-Karbala Yeh Khat Khol Kar
Hussain Aa Gaye Ek Jawan Laash Par
Laash Par, Laash Par, Haaye Laash Par
Aa Kar Shah Bole, Paigham Hai Sughra Ka, Haaye
Akbar Ghar Aa Ja, Sughra Ka Wasila

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Akbar A S Ghar Aja

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.