Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Baba Jan

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduMuharram
Baba Jan is a 2025 Noha recited by Irfan Haider about the suffering of Bibi Sakina (SA) during the journey of the captives from Karbala to Shaam. Through the voice of Imam Hussain's young daughter, it recounts exhaustion, thirst, separation, and her longing for her father. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Baba Jan

Lyrics

Baba Jan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Baba Jan

Baba Jan

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Baba Jan

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Jab Raah-e-Shaam Mein Dekha Ghareeb Baap Ka Sar Nok-e-Sina Par
To Sakina Ne Tarap Kar Yeh Kiya Tha Noha
Baba, Baba, Baba, Baba

Jab Koi Yateema Kehta Hai
Mujhe Aap Bahut Yaad Aate Hain ×2
Kab Hoga Safar Khatam Yeh Mera
Raahon Mein, Kaanton Par
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Jab Se Rasan Mein Yeh Gala Hai
Baba Mera Dam Ghut Raha Hai
Mushkil Hai Yeh Safar, Ae Baba
Main Is Safar Mein Mar Na Jaaun
Aa Kar Sambhalo Gir Na Jaaun
Khaak Par, Dekho Na, Panjon Par
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Baad Aap Ke Jab Shimr Aaya
Baba Mera Daman Jalaya
Chheene Mere Gauhar, Ae Baba
Deti Rahi Ro Kar Duhaai
Baalon Se Kheencha Jab Main Aayi
Laash Par, Zakhmi Hai, Mera Sar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Pehle To Mujh Ko Ek Qadam Bhi
Chalne Nahi Deta Tha Bhai
Kya Woh Bhool Gaya, Ae Baba
Baba Teri Jis Par Nazar Hai
Haan Woh Mere Bhai Ka Sar Hai
Poochho Zara, Sunta Nahi, Kyun Akbar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Sab Dekhte Hain Bas Tamasha
Jo Bhi Mila Dekho Tamacha
Us Ne Maara Mujhe, Ae Baba
Kab Tak Rahegi Sakina
Yaad Aa Raha Hai Ab Madina
Baba Mujhe, Jaaungi, Main Kab Ghar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Ro Kar Sakina Ne Sada Di
Seene Pe Sone Ki Hoon Aadi
Neend Aa Rahi Hai Mujhe, Ae Baba
Main Khaak Par So Na Sakungi
Bas Yeh Sada Deti Rahungi
Baba Tujhe, Godi Mein, Lo Aa Kar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Pyasi Ko Sab Ne Yun Sataya
Paani Dikhaya Aur Bahaya
Kya Kya Maine Saha, Ae Baba
Naize Se Ammu Ka Gira Sar
Jab Shaam Walon Se Tarap Kar
Maine Kaha, Paani Mujhe, Do La Kar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Darbar Mein Manzar Jo Dekha
Zeeshan Woh Kaise Likhega
Ae Irfan-e-Aza, Ae Baba
Beti Ne Ro Ke Jab Sada Di
Baba Ka Sar Godi Mein Us Ki
Aa Gaya, Kehti Rahi, Ro Ro Kar
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan
Baba Jan, Baba Jan
Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Baba Jan

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.