Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mujhay Abbas Na Kehna

Irfan Haider

2025Urdu
2025UrduMuharram
Mujhay Abbas Na Kehna is a 2025 Noha recited by Irfan Haider and written by Zeeshan Abidi, celebrating the bravery, loyalty, and strength of Hazrat Abbas (AS) at the River Euphrates during Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Mujhay Abbas Na Kehna

Lyrics

Mujhay Abbas Na Kehna Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mujhay Abbas Na Kehna

Mujhay Abbas Na Kehna

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mujhay Abbas Na Kehna

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas ×4

Kaun Aaya Hai Maidan Mein, Samaa Maut Ka Chhaya
Darya Se Sitamgaron Ne Pehron Ko Hataya
Maidan Mein Al-Amaan, Al-Amaan Sadayein
Abbas Ki Jis Simt Bhi Jaati Thi Nigahein

Is Ghaiz Se Saqqa-e-Haram Aaya Tha Ran Mein
Bas Ek Sada Goonj Rahi Thi Yehi Ban Mein

Main Sher-e-Nayistan-e-Haider Hoon
Abbas Ameer-e-Lashkaram, Kaisa Hai Jaah-o-Hasham
Ek Haath Mein Hai Mashk Aur Ek Haath Mein Parcham

Chalo Bhaago Yahan Se, Chhoro Darya Aa Gaye Hain Hum
Main Qamar-e-Bani Hashim Hoon
Suno Abbas Hoon Main, Suno Abbas Hoon Main
Mere Baba, Mere Baba
Mere Baba Ali Jaisa Agar Na Ho Mera Hamla

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Suno Darya Ke Pehredaron, Yeh Ghazi Ka Naara Hai
Hamari Milkiyat Hai, Paani Par Qabza Hamara Hai
Agar Himmat Hai To Bolo Ke Yeh Darya Tumhara Hai
Magar Ek Waar Mein Na Chheen Loon Tum Se Main Yeh Darya

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Ali Ka Laal Hoon, Jarraar Hoon, Nad-e-Ali Hoon Main
Jalaal Aaye To Sar Se Paon Tak Yaad-e-Ali Hoon Main
Yeh Hargiz Bhool Na Jaana, Ali Baad-e-Ali Hoon Main
Agar Talwar Ki Tarah Na Kaate Tum Ko Yeh Naiza

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Laroge Mujh Se Kya Tum Ko Mera Ashhal Kuchal Dega
Agar Main Hukm De Doon, Nahr Ka Naqsha Badal Dega
Lahad Tak Yaad Rakhoge, Tumhein Aisi Ajal Dega
Jo Kehta Hoon Woh Karta Hoon, Agar Aisa Na Ho Wallah

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Jeena Hai Ya Marna Hai, Khud Soch Lo Kya Karna Hai
Naslon Ko Tumhari Warna Mere Naam Se Hi Darna Hai
Agar Roohon Ko Bhi Na Kaat Doon Main Jismon Ki Tarah

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Na Larne Ki Ijazat Hai, Na Larne Ka Irada Hai
Sakina Kab Se Pyasi Hai, Yeh Gham Sab Se Zyada Hai
Bas Ek Mashkiza Bharne Do, Mera Tum Se Yeh Waada Hai
Magar Paani Piye Ek Boond Yeh Seh-Roz Ka Pyasa

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Wahan Zeeshan-o-Irfan-e-Aza Pehra Hai Ghazi Ka
Jabhi To Karbala Koi Yazidi Ja Nahi Sakta
Wafa Ke Badshah Ka Unhein Hai Khauf Itna
Ali Ka Sher Hai Woh, Saron Ko Kaat Dega
Abhi Tak Yaad Hai Un Ko Mere Ghazi Ka Yeh Kehna

Nahi Kehna, Nahi Kehna
Mujhe Abbas Na Kehna, Abbas Na Kehna Mujhe
Abbas Na Kehna Mujhe, Abbas Na Kehna

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Mujhay Abbas Na Kehna

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.