Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De

Irfan Haider

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De is a 2021 Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Zeeshan Abidi. Through an imagined farewell between Bibi Fatima Zahra (SA) and Hazrat Abbas (AS), it remembers his loyalty to Imam Hussain, his sacrifice beside the Euphrates, and his concern for Sakina and Zainab. Read the original lyrics in Roman Urdu and Urdu with a faithful English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De

Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Abbas Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye...
Ya Abbas, Ya Abbas
Abbas... Abbas
Ya Abbas...

Ek Baar Sada Do Na, Maa Keh Ke Pukaro Na
Ya Abbas...

Waqt-e-Rukhsat Hussain Ko Bhai
Jab Alamdar Ne Kaha Hoga
Sochta Hoon Ke Rooh-e-Zahra Ne
Ro Ke Us Waqt Yeh Kaha Hoga

Abbas, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De (×3)

Shabbir Ko Bhai Tu Ne Kaha
Bhai Ka Kiya Armaan Poora
Armaan Mera Poora Kar De, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Ae Laal Mere Maa Hone Ka
Har Farz Nibhaya Hai Maine
Abbas... Abbas
Shabbir Ke Haathon Se Tujh Ko
Jhoola Bhi Jhulaya Hai Maine
Ehsaan Tera Hoga Mujh Pe, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Zakhmi Thi Bahut Phir Bhi Tujh Se
Is Maa Ko Mohabbat Thi Itni
Abbas... Abbas
Ek Haath Tha Mera Pehlu Pe
Ek Haath Se Kurta Seeti Thi
Sab Zakhm Mere Bhar Jayenge, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Jis Waqt Gira Tu Ghore Se
Main Dekh Rahi Thi Woh Manzar
Abbas... Abbas
Aaghosh Mein Tujh Ko Rote Hue
Maine Hi Sambhala Tha Barh Kar
Kab Door Hui Hoon Main Tujh Se, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Bachchon Ke Liye Jab Dariya Se
Mashkiza Bhara Paani Na Piya
Abbas... Abbas
Seh-Roz Ka Pyasa Ho Kar Bhi
Kya Khoob Nibhaayi Tu Ne Wafa
Ae Tashna-Dahan Mere Pyase, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Teri Aankh Se Teer Nikaaloon Main
Tu Dekh Le Bhai Ka Chehra
Abbas... Abbas
Yeh Waqt-e-Judaai Hai Dil Mein
Hasrat Na Rahe Koi Beta
Aa Khoon Hata Doon Aankhon Se, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Khaime Mein Sakina Pyasi Hai
Yeh Baat Tujhe Tarpati Hai
Abbas... Abbas
Is Haal Mein Bhi Tujh Ko Haaye
Zainab Ki Rida Yaad Aati Hai
Aa Tujh Ko Laga Loon Seene Se, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Zeeshan Sunaya Ro Ro Kar
Irfan-e-Aza Ne Yeh Noha
Abbas... Abbas
Dariya Ke Kinare Ghazi Ne
Maa Kehte Hue Dam Tor Diya
Zahra Ne Kaha Jab Ro Ro Ke, Abbas
Ek Baar Mujhe Bhi Maa Keh De, Abbas (×2)

Ya Abbas, Ya Abbas
Abbas... Abbas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.