Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Khuwab-e-Sakina

Irfan Haider

2026Urdu
2026UrduMuharram
Khuwab-e-Sakina is a 2026 Noha recited by Irfan Haider and written by Zeeshan Abidi. The noha portrays Bibi Sakina (SA) dreaming in the prison of Shaam that the suffering of Karbala and captivity had never happened. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Khuwab E Sakina S A

Lyrics

Khuwab-e-Sakina Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Khuwab-e-Sakina

Khuwab-e-Sakina

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Khuwab-e-Sakina

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Khwab-e-Sakina ×2
Zindan-e-Shaam Mein Ek Khwab Sakina Ne Dekha
Baba, Baba
Mere Rukhsaar Salamat Hain Mere Baba
Mera Kurta Bhi Salamat Hai Mere Baba

Jab Woh Bedaar Hui, Jab Woh Bedaar Hui
Cheekh Ek Maar Ke Woh Baap Ke Sar Se Boli
Aise Na Hota, Haaye Baba
Aise Na Hota Mera Rukhsaar Neela
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Phuphiyon Ke Shaanon Ko Jis Rassi Mein Bandha Tha Baba
Us Rassi Mein Hi Bandha Zalimon Ne Mera Gala
Dam Mera Shaam Ki Raahon Mein Baba Ghutta Raha ×2
Panjon Pe Chal Kar, Ae Baba
Panjon Pe Chal Kar Woh Jo Maine Guzara
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Jis Ne Jab Chaha Mujh Ko Maara Main Kuchh Boli Nahi
Kitna Tum Pyar Karte The Baba Main Bhooli Nahi
Jab Se Bichhri Hoon Tum Se Chain Se Main Soyi Nahi ×2
Mujh Ko Mil Jata, Ae Baba
Mujh Ko Mil Jata Mere Baba Ka Seena
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Mere Bhaiya Akbar Ke Seene Mein Lagti Na Barchhi
Aun-o-Muhammad Hote Saath Aur Bhaiya Qasim Bhi
Aur Ammu Jaan Ke Baazu Bhi Nahi Katte Kabhi ×2
Nok-e-Naiza Par, Ae Baba
Nok-e-Naiza Par Sar-e-Asghar Na Hota
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Na Mere Chhinte Gauhar Na Hi Main Maqtal Mein Aati
Na Tum Ko Dhoondhti Baba Na Laashon Se Takrati
Na Mera Daman Jalta Na Zalim Ke Durre Khati ×2
Dekhti Na Main, Ae Baba
Dekhti Na Main Tumhara Zakhmi Laasha
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Baba Tumhari Beti Ko Kitna Tarpaya Gaya
Baalon Se Kheench Kar Bazaaron Mein Jab Laya Gaya
Mujh Ko Rahwaar Se Bandha Gaya Dauraya Gaya ×2
Dekh Kar Mujh Ko, Ae Baba
Dekh Kar Mujh Ko Na Mera Bhai Rota
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Dadi Zahra Ki Tarah Baalon Mein Safedi Dekho
Kya Main Thi Aap Ke Jaane Se Pehle Aisi Dekho
Deewarein Thaam Kar Chalti Hai Ab Yeh Beti Dekho ×2
Chaar Barson Mein, Ae Baba
Chaar Barson Mein Na Hoti Main Zaeefa
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Zindan-e-Shaam Mein Zeeshan Aur Irfan-e-Aza
Rakha Jab Baap Ke Zakhmi Chehre Par Apna Chehra
Bas Itna Kehte Hue Us Masooma Ne Dam Tora ×2
Haaye Mera Madfan, Ae Baba
Haaye Mera Madfan Na Hota Qaidkhana
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota
Baba Jaan, Baba Jaan
Ae Baba Mere Pyare Baba

Itni Zakhmi Aaj Na Hoti Sakina
Kaash Yeh Saara Safar Ek Khwab Hota

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Khuwab E Sakina S A

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.