Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Asghar Hun Main Asghar

Ali Raza Baqri

Urdu
UrduAli Asghar
Asghar Hun Main Asghar is a historic Urdu noha attributed to Ali Raza Baqri in the Bayaaz of Old Nohay. Read the Roman Urdu text with Urdu script and an aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Imam Hussain
Original
Urdu

Lyrics

Asghar Hun Main Asghar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Asghar Hun Main Asghar

Asghar Hun Main Asghar

Ali Raza Baqri

YouTube loads when you open Listen.

Asghar Hun Main Asghar

Ali Raza Baqri

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shabbir ke haaton par rajas padhtey thay Asghar
Asghar Huñ Maiñ Asghar
Hoon Sipte Payambar ka main Farzand e Dilawar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Kaunaan ke Mukhtar ka main Lakth e Jigar hoon
Syyed ka pisar hoon
Islaam ki kashti ka hoom ek chhota sa langar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Mazloom ka Beta hoon main har zulm sahoon ga
Shikwa na karoonga
Go teen shab o roz ka pyaasa hoon barabar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Baba ki main awaaz par labbaik kahoonga
Jhoole se giroonga
Jaaon ga jo rann ko to na aaon ga palat kar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Sishmaah hoon talwaar se main ladd nahin sakta
Chhup rah nahi sakta
Haan teer chalen ge toh sambhaloon ga gale par
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Daman ko udha kar jo chalen ge Shah e Wala
Ho ga kaho bala
Quraan ka guma ho ga laeenon ko sarasar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Pheroon ga jo main khushk zubaan khushk dahen par
Ho hashr ka manzar
Patthar ke jigar wale bhi royenge tadapkar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Jub hurmala kaahil ka Raza* teer chala tah
Eh hashr bapat tha
Bachche ne sipar kar diya gardan ko yeh kah kar
Asghar Huñ Maiñ Asghar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.