Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aa Dekh Mere Ghazi

Nadeem Sarwar

1993Urdu
1993UrduImam HussainMuharram
Aa Dekh Mere Ghazi is a 1993 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi. It honours Hazrat Abbas (a.s.), his alam, his loyalty to Imam Hussain (a.s.) and the grief of Bibi Zainab (s.a.). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1993
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aa Dekh Mere Ghazi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aa Dekh Mere Ghazi

Aa Dekh Mere Ghazi

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aa Dekh Mere Ghazi

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera

Zainab ki dua ban kar ek waqt woh aayega
Har ghar mein saja hoga, Abbas alam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Aa jaati hain Zehra bhi, Zainab bhi ziyarat ko
Jab aath Muharram ko uthta hai alam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Taboot jab uthta hai Shabbir ka aye Ghazi
Taboot ke aage bhi chalta hai alam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Woh kaun se sadme thay, Sheh toot gaye jis se
Ek dard tha Zainab ka, aur doosra gham tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Parcham ka pharera tha, ya aas thi Zainab ki
Zainab ke kaleje se gham kaise ho kam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Bazaar mein, zindaan mein, darbaar mein har lamha
Zainab ki to saanson pe tha naam raqam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Jab beh gaya sab paani, tab aas teri tooti
Tha seene ke andar ya mashkize mein dam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Aawaaz teri Sarwar, Shabbir se wabasta
Abbas se wabasta Rehan qalam tera
Dil seene mein jab tak hai, bhoolega na gham tera
Aa dekh mere Ghazi, ooncha hai alam tera

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1993
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.