Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aa Alamdar Haye Alamdar

Nadeem Sarwar

2000Urdu
2000UrduImam HussainMuharram
Aa Alamdar Haye Alamdar is a 2000 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Jab Mula Aeinge, Vol. 20. It portrays Imam Hussain's grief after the martyrdom of his brother Hazrat Abbas Alamdar at Karbala, recalling the loss of his loyal standard-bearer, the helplessness of Bibi Sakina and Bibi Zainab, and the devastation of his household.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Lyrics

Aa Alamdar Haye Alamdar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aa Alamdar Haye Alamdar

Aa Alamdar Haye Alamdar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aa Alamdar Haye Alamdar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aa Alamdar, haaye Alamdar ×3

Karte the ro ro ke Ya Hazrat bayaan
Tor gayi meri kamar bhai jaan
Roti hai khaime mein Sakina wahaan
Sote hain Abbas zameen par yahaan
Aa Alamdar, haaye Alamdar

Are laash uthaayega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya
Are qabrein banaayega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya
Are humko sambhaalega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya

Toro na ghurbat mein meri aas, utho
Utho Hussain aaye hain, Abbas utho
Rota hai mazloom ba-sad yaas, utho
Utho bas ab ghar mein chalo bhai jaan

Are kaun khabar le meri
Sher-e-jawaan mar gaya
Haaye meri bekasi
Sher-e-jawaan mar gaya
Chalti hai dil par chhuri
Sher-e-jawaan mar gaya

Kya hua Saqqa-e-Sakina ko aa?
Kisne kiya mere bhare ghar tabaah?
Kya hui Abbas biradar ki chaah?
Ab gayi woh pyaar ki baatein kahaan?

Are mar gaya Akbar pisar
Sher-e-jawaan mar gaya
Thaam lo meri kamar
Sher-e-jawaan mar gaya
Are lut gaya bekas ka ghar
Sher-e-jawaan mar gaya

Quwwat-e-baazu meri kya ho gaya?
Zeenat-e-pehlu meri kya ho gaya?
Aashiq dil yun mera kya ho gaya?
Kya hua afsos mera ab qadradaan?

Are jhoome khaime mein wahaan
Sher-e-jawaan mar gaya
Karti hai Zainab fughaan
Sher-e-jawaan mar gaya
Are kise karoon main bayaan?
Sher-e-jawaan mar gaya

Haath se khoya dil-e-ghamkhwaar ko
Paaun kahaan apne Alamdar ko?
Gheri hui khanjar-e-khoon-khwaar ko
Jallaad gale par ho mere ab rawaan

Are ab koi chaara nahin
Sher-e-jawaan mar gaya
Are zeest gawaara nahin
Sher-e-jawaan mar gaya
Are koi hamaara nahin
Sher-e-jawaan mar gaya

Maa-e-Bani Hashim, woh laal nahin
Us mein mere mehr ka ujaala nahin
Haaye mera chaahne waala nahin
Nazron mein taareek hai saara jahaan

Are laash uthaayega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya
Are qabrein banaayega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya
Are humko sambhaalega kaun?
Sher-e-jawaan mar gaya

Toro na ghurbat mein meri aas ko
Utho Hussain aaye hain, Abbas utho
Rota hai mazloom ba-sad yaas, utho
Utho bas ab ghar mein chalo bhai jaan

Are aankhon ka taara mera
Sher-e-jawaan mar gaya
Are chaand ka tukra mera
Sher-e-jawaan mar gaya
Are ghar ka ujaala mera
Sher-e-jawaan mar gaya

Rooh-e-Ali, jaan-e-Nabi alvida
Aashiq-o-shaidaayi akhi alvida
Laash-e-Abbas-e-Ali alvida
Aate hain ab hum bhi, chalo bhai jaan

Karte the ro ro ke Ya Hazrat bayaan
Tor gayi meri kamar bhai jaan
Roti hai khaime mein Sakina wahaan
Sote ho Abbas zameen par yahaan

Aa Alamdar, haaye Alamdar ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Martyrdom of Hazrat Abbas
Original language
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.