Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aa Ali Asghar

Nadeem Sarwar

1998Urdu
1998UrduImam HussainMuharram
Aa Ali Asghar is a 1998 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18. It expresses Bibi Rabab's longing for her infant Ali Asghar after his martyrdom at Karbala, as she remembers his cradle, his thirst and the pain of separation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Lyrics

Aa Ali Asghar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aa Ali Asghar

Aa Ali Asghar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aa Ali Asghar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar
Jhoola jhulaaun, lori sunaaun
Doodh pilaaun, aa mere Asghar

Mere mujahid, mere sipaahi
Khatm hui maidaan mein ladaai
Ghar ko sidhaaro, maa ko pukaaro
Main chain paaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Yaad aa rahi hain masoom baatein
Din mein sukoon hai, bechain raatein
Jee na sakungi, roti rahungi
Aansoo bahaaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Poochh rahi hai baali Sakina
Kyun nahin aaya laut ke bhaiya
Tu hi bata de maidaan se aa ke
Main kya bataaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Phail hue hain shaam ke saaye
Ab to parinde bhi laut aaye
Main ro rahi hoon, jaan kho rahi hoon
Tujhko sulaaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Zakhmi gala aur pyaas ki shiddat
Hoti to hogi maa ki zaroorat
Tu jo pukaare dil ke sahaare
Main dauri aaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Mehsoos mujhko yeh ho raha hai
Jaise ke jhoola bhi ro raha hai
Aye mere beta, yeh rota jhoola
Kaise jhulaaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Pyaas bujhaane nehr kinaare
Jab se gaye ho aye mere pyaare
Dar sa laga hai, dil doobta hai
Palkein bichhaaun, aa mere Asghar
Maqtal se aayi aisi khabar

Maqtal se aayi kaisi khabar hai
Kurta lahu se sab tera tar hai
Teer laga hai, zakhmi gala hai
Main mar na jaaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Rehan-o-Sarwar, Bano ke lab par
Ek sada thi, aye mere Asghar
Soona hai jungle, hai gham ka baadal
Tujhko chhupaaun, aa mere Asghar
Tujhko jo paaun aye mere Asghar
Jhoola jhulaaun, aa mere Asghar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.