Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Asghar Ki Saari Umr Safar Mein Guzar Gayi

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduAli AsgharMuharram
Asghar Ki Saari Umr Safar Mein Guzar Gayi is an Urdu noha tracing infant Asghar’s short life and the grief of his mother. Read the Roman Urdu, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Asghar Ki Saari Umr Safar Mein Guzar Gayi Lyrics

WA

Asghar Ki Sari Umr Safar Main Guzar Gai
Tareekion Main Haq Ki Zia Jis Say Bhar Gai
Zalim Kay Sab Irado Ko Barbad Kar Dia
Islam Kay Wujood Ko Azad Kar Dia
Itni Si Jan Itna Bara Kam Kar Gai

Yasrab Say Karwa’n Chala Nikleen Sawarian
Gehwara Pusht E Naqa Bana Ghar Amariyan
Rah E Safar Main Din Gaiy Sham O Sahar Gai

Aghosh Main Ajal Ki Wo Aya Hayat Say
Hans Hans Kay Khailta Raha Bay Sheer Mot Say
Aakhir Qaza Tabassum E Asghar Pay Mar Gai

Sukhi Zaban Phairee Labon Per Sagheer Nay
Pyasay Galay Ko Tar Kia Zalim Kay Teer Nay
Nanhi Si Jaan Mot Ko Hairan Kar Gai

Kha Kar Galay Pay Teer Bhi Jari Raha Safar
Baba Kay Sath Sath Yeh Mojood Tha Udhar
Ho Kar Aseer Bali Sakina Jidhar Gai

Manzar Ye Dekh Dekh Kay Rota Raha Falak
Karb O Bala Say Koofa To Koofay Say Sham Tak
Bhai Kay Sath Sath Bahan Nangay Sir Gai

Maa Say Bichar Kay Chain Na Aya Sagheer Ko
Har Gam Karta Jata Tha Maa Ko Talash Wo
Naizay Pay Dhoondta Tha Kay Amma Kidhar Gai

Naizay Pe Sir Sagheer Ka Daikha Rabab Nay
Mamta Balaiyn Lainay Lagi Iztirab Main
Chahray Pay Apnay Lal Kay Jab Jab Nazar Gai

Asghar Kay Bad Karti Hai Faryad Aik Maa
Sansain To Chal Raheen Hain Magar Zindagi Kahan
Beta Tumharay Sath Yeh Madar Bhi Mar Gai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Bibi Rabab, Bibi Sakina, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.