Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Assalam Aye Khatam-e-Kaar-e-Nabuwwat

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Assalam Aye Khatam-e-Kaar-e-Nabuwwat is an Urdu Kalam. A devotional elegy on the sacrifice of Imam Hussain and infant Ali Asghar at Karbala. Read the Roman Urdu, Urdu-script text and English translation of the passage.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Assalam Aye Khatam-e-Kaar-e-Nabuwwat Lyrics

WA

Asalam Aye Khatamay Kaaray Nabuwat Asalam

Aye Shaheeday Karbala Itmaamay Hujat Tunay Ki
Ab Toh Keh Lenay Day Takmeelay Nabuwat Tunay Ki

Inteha E Zulm Par Tu Sabr Ki Manzil May Tha
Aye Husain Ibne Ali Tu Haq Ki Kis Manzil May Tha

Paaye Istiqlaal Se Har Gham Ko Thukrata Huwa
Karbala Tak Aagaya Ye Baat Dohraata Huwa

Kya Haqeeqat Maut Ki Nazd Husain Ibne Ali
Aao Dekho Maut Hai Hum Se Jari Ya Hum Jari

Woh Sahar Ashoor Ki Woh Qeher O Zulmat Ki Sahar
Woh Bahattar Ke Liye Dunya E Aafat Ki Sahar

Woh Sahar Jiski Ziya Ek Sarmadi Aawaz Hai
Jismay Hum Shaklay Payambar Ki Azaan Ka Saaz Hai

Rob O Daulat Se Tanzil May Thi Kainaat
Deedni Tha Fatima Ke Laal Ka Paaye Sabaat

Qudsiyon Mein Shor Tha Iss Ki Jabeen Par Khum Na Tha
Iskay Chehray Ka Tabassum Barh Raha Tha Kum Na Tha

Al Amaan Woh Dhoop Ki Shiddat Atash Ki Uljhanein
Asghar E Baysheer Ki Woh Izteraabi Karwatein

Haye Jin Bachon Ko Paala Tha Unhonay Naaz Se
Jaa Rahay Thay Aaj Woh Run May Ajab Andaaz Se

Jinkay Chehron Par Numaya Kamsini Ka Bholapan
Kya Samajhtay Maut Ka Mafhoom Woh Gul Perahan

Maut Se Larnay Ko Niklay Aur Baazi Legaye
Ahlay Aalam Ko Sabaq Jeenay Ka Ghazi De Gaye

Ho Gayeen Jab Karbala Mein Khatm Sab Qurbaniyaan
Akbar O Abbas Bhi Dikhla Chukay Jaan Baaziyaan

Kya Kiya Asghar Ko Le Aaye Khulay Maidaan Mein
Aakhri Gohar Bhi Laakar Rakh Diya Mizaan Mein

Theen Din Ki Pyaas Mein Aur Dhoop Mein Woh Mehlaqa
Baap Ke Haathon Pe Tha Manzar Hilaalay Eid Ka

Ashahay Aalam Kahan Ho Shaanay Dilbar Dekh Lo
Khandaq O Khaybar Ke Ghazi Jangay Asghar Dekh Lo

Zulm Ki Hadd Aur Zabtay Dil Dikhanay Ke Liye
Aik Nidaaye Aam Thi Saaray Zamanay Ke Liye

Godh Mein Shabbir Ki Asghar Ki Surat Dekh Lo
Ahlay Dil Ahlay Nazar Lo Haq Ki Qeemat Dekh Lo

Shaahay Deen Nay Iss Taraf Kuch Laal Se Apnay Kaha
Uss Taraf Se Hurmala Ke Teer Seh Pehlu Chala

Chota Sa Manka Dhala Ghuncha Dehen Gul Hogaya
Bujh Gayi Lo Tashnagi Bano Ka Dilbar Sogaya

Asalam Aye Karbala Kay Nannay Ghazi Asalam
Asalam Aye Hasliyon Waalay Sipaahi Asalam

Muskura Kar Tunay Jo Khaya Tha Aye Roshan Zameer
Aaj Tak Pewast Hai Insaan Ke Dil May Woh Teer

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Ali Asghar, Ali Akbar, Hazrat Abbas, Bibi Rabab
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.