Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Gul-e-Zahra Aye Asghar

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduAli AsgharMuharram
Aye Gul-e-Zahra Aye Asghar is an Urdu Kalam. A mother mourns the loss of infant Asghar, her empty cradle and the suffering at Karbala. Read the Roman Urdu, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Aye Gul-e-Zahra Aye Asghar Lyrics

WA

Aye Gulay Zehra Aye Asghar
Maa Ki Tamanna Aye Asghar
Madaray Gham Geen Meri Jaan
Dil Ko Sambhalay Kis Unwaan
Dekh Kay Weeran Aur Sunsaan
Khaali Jhoola Aye Asghar

Bun May Akelay Sotay Ho
Raat May Tanha Hotay Ho
Sheray Khuda Ke Potay Ho
Dar Ke Na Rona Aye Asghar

Tifli May Himmat Ki Tumnay
Peer O Jawaa Se Barh Charay
Khel Ke Aaye Teeron Se
Dasht May Kis Jaa Aye Asghar

Kisnay Sitam Ye Dhaaya Hai
Teer Kahan Pe Khaya Hai
Haye Kahan Murjhaya Hai
Phool Sa Chehra Aye Asghar

Marti Hai Madar Iss Gham May
Bibiyaan Kyun Hain Matam May
Ghar Se Nikaltay Hi Dam Bhar May
Dhal Gaya Manka Aye Asghar

Baykas O Tanha Haye Ghazab
Chor Aaye Pardes May Sab
Tumsay Bichar Kar Kon Hai Ab
Mera Sahara Aye Asghar

Kitnay Ghafil Sotay Ho
Maa Ho Sadqay Jald Utho
Jaatay Hai Run May Marnay Ko
Aap Ke Baba Aye Asghar

Lo Woh Shahay Dilgeer Chalay
Maqtal Ko Shabbir Chalay
Lo Woh Udhar Se Teer Chalay
Hashr Hai Barpa Aye Asghar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Bibi Rabab, Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.