Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray is a 2021 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Sajjad Mir. It portrays Imam Hussain's affectionate farewell to Hazrat Jaun, honouring his loyalty, sacrifice and place among the martyrs of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aye Jaun, bhai ho tum mere
Abbas ki qasam tumhein, lag jao na gale

Baba bhi aaye hain mere, Nana bhi aaye hain
Chehre ka noor dekhiye, Musa bhi aaye hain
Yusuf khare hue hain ziyarat ke waste

Tujh ko duaein aaj se degi Dua-e-Noor
Khushboo tere paseene ki phailegi door door
Mil jayega lahu tera khoon-e-Hussain se

Ahl-e-Haram ko tum se hai dharas mere diler
Pehra do phir khayyam ka, utho aye mere sher
Kyun ja rahe ho tum mujhe ghurbat mein chhor ke

Karna dua Hussain pe aisa na waqt aaye
Koi sada de hum ko aur hum se chala na jaye
Laasha tumhara dasht se hum khud uthayenge

Aahista kehna Saqi-e-Kausar se mera haal
Rakhti thi meri pyaas ka Amma bahut khayal
Ghurbat na ho bayan meri Amma ke samne

Aaye hain zakhm tum ko meri jaan kahan kahan
In zalimon ne maari hain seene pe barchhiyan
Shabbir kis tarah se tumhare gale lage

Tu ne gala kataya hai pehle Hussain se
Dilwayenge jaza woh Shah-e-Mashriqain se
Chadar utha ke deti hain Amma dua tujhe

Seene laga ke kehne laga Ibn-e-Fatima
Khushboo se teri mehakegi ta hashr Karbala
Boo hai tere paseene mein kis ne kaha tujhe

Jaldi thi dekho Jaun ko Sajjad kis qadar
Dhaal aur zirah ko phenk ke seena kiya sipar
Jis dam suna Hussain se

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.