Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Khuda Khair Karay

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Khuda Khair Karay, also known as Binte Zahra Ka Khula Sar Hai, is a 2017 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Sajjad Mir. Dedicated to Bibi Zainab, the lament recalls scenes of suffering surrounding the tragedy of Karbala, including the martyrdom of Ali Akbar and Ali Asghar, the grief of Imam Hussain and the captivity of the Prophet's family. The poetry also draws a parallel with the suffering of Bibi Fatima Zahra, repeatedly invoking Khuda Khair Kare as a plea for divine protection.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Abbas (as) Tera Haq Hai Zamana

Lyrics

Khuda Khair Karay Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Khuda Khair Karay

Khuda Khair Karay

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Khuda Khair Karay

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Khuda khair kare ×7

Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare ×3

Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare ×2
Aur har haath mein patthar hai, Khuda khair kare

Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Hurr ke bete pe hi Shabbir bahut roye the ×2
Haaye, ab to laash-e-Ali Akbar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Maarte hain wahan naizon ko zameen par zalim ×2
Dafn jis jaa Ali Asghar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Kuch qadam door khadi dekh rahi hai Zainab ×2
Shimr ke haath mein khanjar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Chaunk kar khwaab se kehti thi watan mein Sughra ×2
Kaisi mushkil mein mera ghar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Peechhe deewar hai aur jalta hua dar aage ×2
Beech mein Bint-e-Payambar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Be-rida jaana hai Zainab ko wahan par ke jahan ×2
Har koi dushman-e-Haider hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Hai chhadi haath mein zalim ke, labon par hai hansi
Tasht mein Sheh ka rakha sar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Mir Sajjad, yeh Shireen ne kaha rote hue
Kis ki naize pe yeh chaadar hai, Khuda khair kare
Bint-e-Zahra ka khula sar hai, Khuda khair kare

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Abbas (as) Tera Haq Hai Zamana

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.