Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Baba Ran Ko Na Jaa

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Baba Ran Ko Na Jaa is a traditional Urdu marsiya portraying the heartbreaking pleas of Bibi Sakina (SA) as Imam Hussain (AS) prepares to depart for the battlefield of Karbala. The elegy recalls the martyrdom of Hazrat Abbas (AS), Ali Akbar (AS), Ali Asghar (AS), and other members of the Ahlulbayt. Read the nine-stanza version with Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Baba Ran Ko Na Jaa Lyrics

WA

Jab Hussain Chale Dasht-e-Jadal Ko Yaaro Ghoda Manga
Bi Sakina Kahein Yun Padar Ko Baba Ran Ko Na Ja
Baba Tum To Chale Yahan Se Ran Ko Zalim Lootenge Aah
Chheeneinge Mere Kaanon Se Durr Ko Baba Ran Ko Na Ja

Apna Koi Nahi Hai Yagana Ae Nabi Ke Pisar
Hum Se Phir Gaya Sara Zamana Bhala Jayein Kidhar
Kahin Thaor Nahi Na Thikana Loota Jata Hai Ghar
Kar Ghareebon Ke Tukre Jigar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Kaisa Ghoda Sawari Ko Aaya Kahan Jate Ho Ab
Tum Ne Kyun Mujhe Dil Se Bhulaya Kaho Is Ka Sabab
Humein Jor-e-Falak Ne Sataya Shah-e-Aali Nasab
Dekh Bewaon Ke Haal Batar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Main Sakina Tumhari Hoon Jani Dukh Hai Mujh Par Para
Mujh Ko Milta Nahi Boond Paani Munh Hai Khushk Para
Mat Karo Mujhe Duniya Se Fani Apna Dagh Dikha
Kar Ke Mehr Ki Mujh Pe Nazar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Jaan Mere Chacha Ne Ganwayi Woh Bhi Mujh Se Chhoota
Bhai Akbar Ne Bhi Barchhi Khayi Ran Mein Maara Gaya
Gardan Asghar Ne Apni Chhidayi Main Hoon Us Pe Fida
Chhor Sab Gaye Mujh Noha-Gar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Mujhe Tum Ne Hai Shafqat Se Pala Rakh Ke Chhati Pe Sar
Mera Kehna Nahi Tum Ne Tala Shah-e-Jinn-o-Bashar
Jabke Tum Bhi Mo'e Shah-e-Wala Kha Ke Tegh-o-Tabar
Kaun Poochhega Ab Khasta Jigar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Meri Maa Pe Museebat Hai Tooti Khabar Us Ki To Lo
Us Ki Kheti Qaza Ne Hai Looti Beti Beton Ko Kho
Sar Khule Hain Naseebon Ki Phooti Mehr Us Pe Karo
Us Ko Chhor Ke Yun Dene Sar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Behna Kubra Ke Haal Ko Dekho Kaisi Shaadi Thani
Biyaah Hote Hi Mar Gaya Banra Bewa Banri Bani
Bete Zainab Ke Mar Gaye Dono Jang Ke The Dhani
Kho Ke Zainab Khasta Jigar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Meri Pyaas Se Sookhi Zubaan Hai Paani Paaun Kahan
Sunne Wala Na Koi Yahan Hai Karun Kis Se Bayaan
Tum Hue To Mujhe Sab Jahan Hai Ae Muhammad Ki Jaan
Haaye Tor Ke Meri Kamar Ko Baba Ran Ko Na Ja

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.