Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Khuda Nighedaar Ya Ali

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Khuda Nighedaar Ya Ali is an Ayyam-e-Fatimiyah noha recited and composed by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum. Released in December 2022, it presents the sorrowful farewell of Bibi Fatima Zahra (SA) to Imam Ali (AS), remembering her suffering, the grief of their children and her final moments.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Khuda Nighedaar Ya Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Khuda Nighedaar Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Khuda Nighedaar Ya Ali

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Wa Waila, Wa Waila
Wa Waila, Sayyada Wa Waila
Mazlooma, Sayyada Mehrooma (x2)

Haye...
Haye Tha Chehra Zakhmi, Shikasta Pehlu
Ajab Qayamat Ki Woh Ghari Thi
Nabi Ki Beti Dam-e-Wasiyat
Ali Se Jab Ro Ke Keh Rahi Thi

Khuda...
Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Ae Mere Maula Chhod Ke Tanha (x2)
Jaati Hai Ab Dukhtar-e-Nabi
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Gham Tumhara Sayyada Ke Saath Jayega
Qabr Mein Tumhara Gham Mujhe Rulayega
Pursa Dene Bhi Tumhein Koi Na Aayega

Haye...
Shehr-e-Madina, Ghut Ke Hai Jeena
Haye Ali Bekasi Teri
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Ek Woh Din Tha Main Dulhan Ban Ke Aayi Thi
Aap Ke Ghar Ne Meri Izzat Badhayi Thi
Mil Ke Mere Saath Yeh Basti Basayi Thi

Shaam Se Pehle, Aap Ke Ghar Se
Fatima Khuda Ke Ghar Chali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Dushman-e-Abu Turab Hain Yahan Tamam
Tum Pe Aanch Aayegi Phir Bhi Na Ae Imam
Fatima Ne Kar Diya Hai Aisa Intezaam

Chaand Se Bete, Sadqe Tumhare
Ab Yehi Hai Jholi Mein Meri
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Baba Aaye The Abhi Dobara Aayenge
Keh Rahe The Kalma Go Na Ab Satayenge
Fatima Tumhein Hum Aaj Le Ke Jayenge

Wada Kiya Tha, Baba Ne Jiska
Aa Gayi Hai Ab Wohi Ghari
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Pyaas Se Hain Dekhte Mujhe Woh Baar Baar
Kar Liya Hussain Aur Hasan Ko Maine Pyar
Maut Kar Rahi Hai Fatima Ka Intezar

Maa Ko Tarapte, Dekhein Na Bachche
Saansein Chal Rahi Hain Aakhri
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Ummat-e-Nabi Ne Mera Haal Yeh Kiya
Jalta Dar Batool Par Gira Diya Gaya
Taziyana Bhi Laga Hai Haath Bhi Utha

Pehlu Shikasta, Bazu Shikasta
Fatima To Zakhm Ban Gayi (x2)
Khuda...
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Zakhm Dekh Kar Mere Abhi Se Hain Nidhaal
Maa Ke Gham Mein Ho Gaya Hai Unka Ghair Haal
Baad Mere Betiyon Ka Rakhna Tum Khayal

Zainab-o-Kulsoom, Hain Abhi Masoom
Raah-e-Shaam Door Hai Abhi
Khuda...
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Fatima Pe Ho Gayi Sitam Ki Inteha
Aap Se Chhupayi Hai Maine Har Jafa
Ghurbaton Ka Hai Meri Gawah Mujtaba

Kaise Bataun, Kaise Sunaun
Fatima Kahan Kahan Giri
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Haye Dukhtar-e-Nabi Ko Qabr Mein Utaar Kar
Roye Murtaza Ali Takallum Is Qadar
Ho Gayi Tamam Qabr Aansuon Se Tar

Uth Ke Qabr Se Jab Ali Chale
Thi Yehi Sada Batool Ki
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Khuda Nighedaar Ya Ali
Khuda Nigehbaan Ya Ali

Wa Waila, Wa Waila
Wa Waila, Sayyada Wa Waila

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.