Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Fatima (sa) Roti Rahi

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Fatima (sa) Roti Rahi is a Fatimiyah noha recited by Mir Hasan Mir and written by Mir Takallum. Originally released in December 2021 for the 2022 Fatimiyah season, it mourns the suffering of Bibi Fatima Zahra (SA) after the demise of the Prophet Muhammad (SAWW), remembering the burning door, the grief of Imam Ali and the sorrow of her children.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Fatima (sa) Roti Rahi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Fatima (sa) Roti Rahi

Fatima (sa) Roti Rahi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Fatima (sa) Roti Rahi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Zahra (x2)
Zahra, Haye Zahra (x2)
Haye Sayyada (x4)

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi
Jalte Darwaze Tale Siskiyan Leti Rahi
Haye Maa Zainab Ki

Itni Bebas Thi Madine Mein Nabi Ki Dukhtar
Jalta Darwaza Kisi Ne Na Uthaya Aa Kar
Haye Kaisa Tha Sitam Rakh Ke Quran Pe Qadam
Aa Gaye Ghar Mein Shaqi

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Taane Sunti Thi Yeh Bazaar Mein Logon Se Ali
Is Ne Maara Tha Hamare Hi Buzurgon Ko Kabhi
Hum Ne Yun Badla Liya Qatl Zahra Ko Kiya
Kuch Na Kar Paya Ali

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Jaise Qassab Zabihe Ko Liye Jaate Hain
Aise Haider Ko Laeen Kheench Ke Le Aate Hain
Aage Aage Hain Ali Peechhe Peechhe Woh Chali
Jo Hai Zakhmon Se Bhari

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Yaad Jab Aata Hai Dil Hota Hai Para Para
Kaise Hasnain Ki Madar Ko Laeen Ne Maara
Khoon Aankhon Se Baha Sirf Ya Mehdi Kaha
Aur Zameen Par Woh Giri

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Sirf Pehlu Nahi Bazu Bhi Shikasta Hoga
Tum Ne Kis Tarah Janaze Ko Sambhala Hoga
Kaise Turbat Mein Rakha Tanha Mayyat Ko Bhala
Mere Mazloom Ali

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Baap Ki Qabr Pe Deewarein Pakar Kar Jaana
Aur Rote Hue Us Haal Mein Wapas Aana
Is Aziyyat Ki Magar Hai Sakina Ko Khabar
Fatima Kaise Chali

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Saath Darbar Se Rote Hue Aate The Hasan
Maa Ke Qadmon Ke Nishanon Ko Mitate The Hasan
Us Pe Yeh Zulm Hua Haath Zalim Ka Utha
Khaak Par Zahra Giri

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Jis Ghari Ho Gaya Rukhsar Mein Paiwast Gohar
Ro Ke Kehta Raha Khud Se Abu Talib Ka Pisar
Aise Takta Na Tujhe Maut Aa Jaati Mujhe
Kaash Ae Bint-e-Nabi

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Din Mein Jab Chand Takallum Ka Wahan Jaata Hai
Tooti Qabron Pe Koi Saaya Nazar Aata Hai
Mujh Ko Lagta Hai Yehi Ab Bhi Hai Bint-e-Nabi
Dhoop Mein Baithi Hui

Kalma Go Hanste Rahe Fatima Roti Rahi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.