Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali

Mir Hasan Mir

2020Urdu
2020UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali is a 2020 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum Mir. Commemorating Ayyam-e-Fatimiyah, it depicts Imam Ali preparing the grave of Bibi Fatima Zahra, concealing his grief and remembering the hardships endured by the Prophet's daughter.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali

Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Zahra, Haye Haider ×3
Haye Zahra

Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali ×2
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Kyun kamar jhuk gayi hai Maula ki ×2
Kis ki mayyat utha rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Waqt-e-talqeen zakhmi shaanon ko ×2
Dheere dheere hila rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haaye saamna ho gaya hai Qunfuz se ×2
Sabr ko aazma rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Apni gardan pe neel rassi ka ×2
Betiyon se chhupa rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Raat hogi to denge ghusl-o-kafan ×2
Aasmaan dekhe ja rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haaye dete jaate hain ghusl Bibi ko ×2
Hichkiyan lete ja rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Aisa gham hai jo aaj chalte hue ×2
Baarha larkhara rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Ali
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Kaisi nemat se ho gaye mehroom ×2
Haath kyun malte ja rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Ek Zahra ek apni ghurbat ka ×2
Do janaze utha rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Aye Takallum Batool ke gham mein
Ab bhi aansu baha rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali

Haye Zahra
Qabr-e-Zahra bana rahe hain Ali
Apni ghurbat chhupa rahe hain Ali ×2
Haye Zahra

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.