Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bolin Bano Dhoondhne Jaun Tumhein Dilbar Kahan

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduBibi RababMuharram
Bolin Bano Dhoondhne Jaun Tumhein Dilbar Kahan is an Urdu Kalam. Bano’s lament for infant Asghar, recalling his disappearance into the lonely wilderness. Read the Roman Urdu, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Bolin Bano Dhoondhne Jaun Tumhein Dilbar Kahan Lyrics

WA

Bolee(N) Bano Dhoondnay Jaoon Tumhay Dilbar Kahan
Rooth Kar Maa Say Gaye Ho Aye Ali Asghar Kahan

Lay Gaye Thay Shah Toh Paani Pilanay Kay Liye
Iss Andheray Ban Mein Saump Aaye Tumhein Sarwar Kahan

Hai Andheri Raat Aur Sunsaan Jangal Meray Laal
Ab Kahan Aagosh Maa Ki Aur Ab Woh Ghar Kahan

Kya Kahoon Sughra Jo Poochay Godh Khaali Dekh Kar
Rehgaya Amma Woh Mera Mehjabeen Asghar Kahan

Raat Ki Tanhaayi Mein Jab Yaad Ayegi Teri
Dhoonday Gi Pehlu Mein Tujhko Paayegi Madar Kahan

Chonk Kar Turbat Mein Dhoondo Gay Mujhay Tum Jis Ghari
Maa Ko Paaogay Andheri Qabr Kay Andar Kahan

Aakay Phir Aik Baar Dikhla Jao Surat Chaand Si
Phir Khuda Jaanay Kay Lay Jaaye Humein Lashkar Kahan

Rotay Rotay Mein Tumhaari Yaad Mein Mar Jaoongi
Maa Ko Chayn Ayega Apnay Laal Se Chutkar Kahan

De Diya Bano Nay Har Maa Ko Mujahid Aik Sabaq
Varna Gham Betay Ka Aur Maa Ka Dil E Muztar Kahan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Bibi Rabab, Ali Asghar, Imam Hussain, Bibi Sughra
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.