Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Dafn To Kar Di Shah-e-Deen Ne Ali Asghar Ki Laash

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Dafn To Kar Di Shah-e-Deen Ne Ali Asghar Ki Laash depicts Imam Hussain’s heartbreak while burying his infant son Ali Asghar in Karbala. The Noha reflects a mother’s longing for her child, the suffering of the thirsty family, and the enduring sorrow of sacrifice. Read the Roman Urdu original, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Dafn To Kar Di Shah-e-Deen Ne Ali Asghar Ki Laash Lyrics

WA

Dafn To Kar Di Shah-e-Deen Ne Ali Asghar Ki Laash
Fart-e-Gham Se Ho Gaya Lekin Kaleja Paash Paash

Aa Saka Lakht-e-Dil-e-Bano Na Khaima Gaah Tak
Subh Se Ta Shaam Sheh Laaya Kiye Laashon Pe Laash

Aakhri Deedar Ko Madar Taras Kar Reh Gayi
Kya Giraan Akbar Se Bhi Maula Thi Shash-Mahe Ki Laash

Dasht-e-Ghurbat Mein Na Hota Maa Se Shash-Maah Juda
Kamyaab Ho Jaate Paani Laane Mein Abbas Kaash

Hurmala Ab Kaunsa Teer-e-Sitam Tarkash Mein Hai
Ja Ba Ja Naiza Chubho Kar Kis Ko Karta Hai Talaash

Kar Ke Paani Ka Sawal Asghar To Ran Mein So Gaye
Aaj Tak Aab-e-Rawaan Karta Hai Chup Chup Kar Talaash

Laakh Uthen Zulm Ke Toofan Aa Sakti Nahin
Jeete Ji Shabbir Ke Islam Ke Rukh Par Kharaash

Sibt-e-Payambar Ka Khoon Hai Apni Gardan Par Na Le
Hosh Mein Aa Ibn-e-Marjana Na Kar Ghalti Yeh Faash

Yeh Lahoo Gar Beh Gaya Sab Kuch Baha Le Jayega
Takht-o-Taaj-o-Qasr-e-Shaam Ho Jayega Sab Paash Paash

Shab Ujaalon Se Kare Baiat Talab Sad Haif Hai
Ahmad-e-Mursal Ka Beta Aur Kahan Woh Bad-Qimaash

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Ali Asghar, Ali Akbar, Hazrat Abbas, Bibi Rabab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Burial of Ali Asghar, Grief of Imam Hussain and Bibi Rabab, Thirst and sacrifice at Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.