Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Achha Hua Sughra

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduSayyida ZainabMuharram
Achha Hua Sughra, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about zainab recounts captivity to sughra. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Achha Hua Sughra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Achha Hua Sughra

Achha Hua Sughra

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Achha Hua Sughra

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab ahl-e-haram aaye Madine mein palat kar
Sughra se kaha Saani-e-Zahra ne lipat kar
Achha hua Sughra, tu mere saath nahin thi
Zainab ka tha nauha, hum lut gaye Sughra
Achha hua Sughra

Is baat pe karti hoon ada shukr ka sajda
Hum mein se kisi ka to salaamat raha parda
Kis tarah bataaun tujhe dil phatta hai mera
Saadaat ki ghairat ka taqaaza nahin Sughra
Bas itna hi kehti hoon rida jab ke chheeni thi
Achha hua Sughra

Tu poochhti hai surkh hai kyun aap ki chaadar
Aa tujhko bataaun mere mazloom ki dukhtar
Jab khaime mein Sheh laaye laash-e-Ali Akbar
Main aise giri laash ke pehlu mein tarap kar
Akbar ke lahu se yeh rida surkh hui thi
Achha hua Sughra

Kis tarah rahi hogi tu is ghar mein akeli
Ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti
Lekin tu zaeefa hui furqat mein padar ki
Tujhko to khabar sirf shahaadat ki hai pahunchi
Main Sheh ka gala katte hue dekh rahi thi
Achha hua Sughra

Kya bughz hai Baba se Musalmaanon ko, jaane
Phir aaye the ghar Fatima Zahra ka jalaane
Sab aa ke khare ho gaye bekas ke sirhaane
Us waqt sitamgaron se Abid ko bachaane
Beti, phuphi Amma teri sholon pe chali thi
Achha hua Sughra

Tanhaai mein le jaa ke kabhi poochhna Maa se
Kis tarah se guzri teri Maa behnein wahaan se
Baatein jahaan sab karte hain patthar ki zabaan se
Shab ko bhi guzarna bara mushkil hai jahaan se
Be-parda din mein wahaan har ek Bibi khari thi
Achha hua Sughra

Nana ka Madina hai, nahin khauf kisi ka
Dil khol ke ro, kaun tujhe maarega durra?
Lekin kabhi Baba pe jo roti thi Sakina
Saili kabhi durra kabhi khaati thi tamaacha
Rone pe bhi masooma ke paabandi lagi thi
Achha hua Sughra

Ae Mir Takallum woh qayaamat thi qayaamat
Zainab ne sunaayi jo Sakina ki shahaadat
Saadaat pe guzra tha ajab aalam-e-ghurbat
Zindaan ke andhere mein banaayi gayi turbat
Dam torti bachchi ne bhi yeh baat kahi thi
Achha hua Sughra

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Sayyida Zainab, Bibi Sughra, Ali Akbar, Imam Hussain, Bibi Sakina
Occasion
Muharram
Themes
Zainab recounts captivity to Sughra
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.