Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Gham-e-Fatima

Mir Hasan Mir

2014Urdu
2014UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Gham-e-Fatima is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, commemorating grief of sayyida fatima zahra and baqi. Read the Roman lyrics, original Urdu/Shahmukhi script and English translation with repeated refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Gham-e-Fatima Lyrics

WA

Haaye mazlooma Fatima Zahra
Haaye mehruma
Fatima ka bhare Madine mein gham bataane koi nahin aaya ×3
Ghar jalaane ko kalma-go aaye
Haaye ghar bujhaane koi nahin aaya

Kya woh Islam ka hi markaz tha ×2
Kya Madina tha woh Muhammad ka ×2
Lag rahe the jahaan pe Zahra ko taaziyaane, koi nahin aaya

Rassiyaan thin Ali ki gardan mein ×2
Aur baazaar se guzarte the ×2
Sab tamaashaayi ban ke takte rahe
Aur chhuraane koi nahin aaya

Dar jala, qatl ho gaye Mohsin, pasliyaan Sayyida ki toot gayin ×2
Phir bhi kehte ho tum ke Zahra par zulm dhaane koi nahin aaya

Khud hi chunne lagi Nabi-zaadi bikhri tehreer apne Baba ki ×2
Mustafa ki sanad ke tukron ko
Haaye jab uthaane koi nahin aaya

Har sitam Fatima pe dhaaya gaya
Jalta darwaaza bhi giraaya gaya ×2
Apne Mehdi ko di sada usne
Haaye jab bachaane koi nahin aaya

Aath Shawwal ko hui, Akbar, phir shahaadat Nabi ki beti ki ×2
Gir raha tha mazaar Bibi ka, aur bachaane koi nahin aaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Imam Mahdi
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Grief of Sayyida Fatima Zahra, Madina, Baqi
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.