Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Ghar Se Jab Bahr-e-Safar Syed-e-Aalam Nikle

Mir Nawab Ali Munis

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Ghar Se Jab Bahr-e-Safar Syed-e-Aalam Nikle is a traditional Urdu marsiya describing Imam Hussain's (AS) departure from Madina on his journey towards Karbala. The elegy portrays his emotional farewell at the shrine of Prophet Muhammad (SAWW), Bibi Fatima Zahra's (SA) grief, Bibi Zainab's (SA) final visit to her mother's grave, and Hazrat Abbas's (AS) promise to protect Imam Hussain. Read the complete 12-stanza marsiya with Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Ghar Se Jab Bahr-e-Safar Syed-e-Aalam Nikle Lyrics

WA

Ghar Se Jab Bahr-e-Safar Syed-e-Aalam Nikle
Sar Jhukaye Hue Ba-Deeda-e-Purnam Nikle
Khwesh-o-Farzand Kamar Baandh Ke Baham Nikle
Ro Ke Farmaya Ke Is Shehr Se Ab Hum Nikle
Raat Se Girya-e-Zahra Ki Sada Aati Hai
Dekhein Qismat Hamein Kis Dasht Mein Le Jaati Hai

Rukh Kiya Shah Ne Soo-e-Qabr-e-Shahenshah-e-Anam
Bahr-e-Tasleem Jhuke Muttasil-e-Bab-e-Salam
Izn Parh Kar Jo Gaye Qabr Ke Nazdeek Imam
Arz Ki Aaya Hai Aaj Aakhri Rukhsat Ko Ghulam
Yeh Makaan Hum Se Ab Ae Shah-e-Zaman Chhootta Hai
Aaj Hazrat Ke Nawase Se Watan Chhootta Hai

Chain Se Sab Hain Gharon Mein Mujhe Milta Nahi Chain
Sakht Aafat Mein Hai Ab Aap Ka Yeh Noor-ul-Ain
Tukre Dil Hote Hain Jab Ro Ke Haram Karte Hain Bain
Nanhe Bachchon Ko Bhala Le Ke Kidhar Jaye Hussain
Shehr Mein Chain Na Jangal Mein Amaan Milti Hai
Dekhiye Qabr Musafir Ko Kahan Milti Hai

Ab Mere Sar Ke Liye Tez Hue Hain Khanjar
Ahl-e-Keen Shar Pe Kamar Baandhe Hain Ya Khair-e-Bashar
Aap Ne Di Thi Isi Roz Ki Amma Ko Khabar
Walida Royi Thi Do Roz Talak Peet Ke Sar
Is Nawase Ko Magar Bhool Na Jaana Hazrat
Zibh Ke Waqt Madad Karne Ko Aana Hazrat

Yeh Woh Din Hain Ke Parinde Bhi Nahi Chhorte Ghar
Mujh Ko Darpesh Hai In Rozon Mein Aafat Ka Safar
Hai Kahin Qatl Ka Samaan Kahin Lut Jaane Ka Dar
Saath Hai Bachchon Ka Ae Badshah-e-Jinn-o-Bashar
Tang Jeene Se Hoon Paas Apne Bula Lo Nana
Apni Turbat Mein Nawase Ko Chhupa Lo Nana

Yeh Bayaan Kar Ke Jo Taweez Se Lipte Sarwar
Yun Hili Qabr Ke Tharrai Zareeh-e-Anwar
Aayi Turbat Se Yeh Aawaz-e-Habeeb-e-Dawar
Teri Ghurbat Ke Main Sadqe Mere Mazloom Pisar
Koi Samjha Na Meri God Ka Pala Tujh Ko
Haaye Aada Ne Madine Se Nikala Tujh Ko

Ae Mere Gesuon Wale Mere Sabir Shabbir
Mere Bekas Mere Mazloom Musafir Shabbir
Na Raha Koi Tera Yawar-o-Nasir Shabbir
Haaye Ae Gor-e-Ghareeban Ke Mujawir Shabbir
Tu Jahan Jayega Pyare Wahin Chalta Hoon Main
Khaak Urata Hua Turbat Se Nikalta Hoon Main

Kai Din Se Teri Madar Ko Nahi Qabr Mein Chain
Aayi Thi Shab Ko Mere Paas Yeh Karti Hui Bain
Ghar Mera Lutta Hai Faryad Rasool-us-Saqalain
Subh Ko Apna Watan Chhor Ke Jaata Hai Hussain
Kehne Aayi Hoon Ke Munh Qabr Se Morungi Main
Apne Bachche Ko Akela To Na Chhorungi Main

Sun Ke Yeh Shah Ne Kiya Aakhri Rukhsat Ka Salam
Nikle Rote Hue Jab Rauza-e-Anwar Se Imam
Shah Se Us Dam Yeh Kiya Ro Ro Ke Zainab Ne Kalam
Qabr Par Maa Ki Mujhe Le Chalo Ya Shah-e-Anam
Log Hamrah Hain Mahmil Hai Kyun Kar Roun
Maa Ki Turbat Se Phir Ek Baar Lipat Kar Roun

Maa Ki Turbat Pe Gaye Shah Ba-Chashm-e-Khoonbar
Utri Mahmil Se Ba-Sad Aah-o-Fughan Zainab-e-Zaar
Daur Kar Qabr Se Lipte Jo Imam-e-Abrar
Haath Zahra Ke Lahad Se Nikal Aaye Ek Baar
Aayi Aawaz Na Ro Dil Ko Qalaq Hota Hai
Qabr Hilti Hai Kaleja Mera Shaq Hota Hai

Haan Bulao Mera Abbas-e-Dilawar Hai Kidhar
Woh Fida Hai Mere Bachche Pe Main Sadqe Us Par
Shikam-e-Ghair Se Hai Par Woh Mera Hai Pisar
Yeh Sada Sun Ke Baradar Ko Pukare Sarwar
Abhi Rahwar Ko Aage Na Barhao Bhai
Yaad Farmati Hain Amma Idhar Aao Bhai

Aa Ke Abbas Ne Sar Rakh Diya Paeen-e-Mazar
Aayi Zahra Ki Sada Main Teri Ghurbat Ke Nisar
Apne Pyaron Ke Barabar Main Tujhe Karti Hoon Pyar
Dhyan Bhai Ki Hifazat Ka Rahe Ae Dildar
Koi Ghurbat Mein Use Maar Na Daale Beta
Mera Shabbir Hai Ab Tere Hawale Beta

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.