Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Kya Aamad-e-Hilal-e-Muharram Ka Shor Hai

Mir Nawab Ali Munis

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Kya Aamad-e-Hilal-e-Muharram Ka Shor Hai is an Urdu marsiya attributed to Mir Mounis, describing the arrival of the Muharram crescent and the mourning of Imam Hussain (AS). Its verses evoke grief throughout the heavens and earth, the sorrow surrounding the Prophet's shrine, and the importance of remembering Karbala through majlis and azadari. Read the four-stanza version in Roman Urdu, Urdu script and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Kya Aamad-e-Hilal-e-Muharram Ka Shor Hai Lyrics

WA

Kya Aamad-e-Hilal-e-Muharram Ka Shor Hai
Arz-o-Sama Mein Shewan-o-Matam Ka Shor Hai
Fauj-e-Malaika Mein Isi Gham Ka Shor Hai
Faisle Bahr-e-Deeda-e-Purnam Ka Shor Hai
Sooni Hai Qabr Fateh-e-Badr-o-Hunain Ki
Aati Hai Shash-Jihat Se Sada Shor-o-Shain Ki

Har Ja Bapa Hai Matam-e-Sultan-e-Bahr-o-Bar
Kaaba Siyah-Posh Hai Hujjaj Nohagar
Hai Chaah Mein Hussain Ki Zamzam Ki Chashm Tar
Kham Baar-e-Gham Se Ho Gayi Mehrab Ki Kamar
Saman Hai Matam-e-Shah-e-Alam-Panah Ka
Uthta Hai Ghul Zameen Se Faryad-o-Aah Ka

Ro Lo Aza-e-Shah Mein Ke Dar-Pesh Hai Ajal
Maloom Kya Hai Aaj Ke Jeete Rahenge Kal
Is Umr-e-Be-Madar Pe Takia Hai Be-Mahal
Jayega Kuchh Na Saath Lahad Mein Ba-Juz Amal
Yaan Majlis-e-Aza Mein Jo Aansoo Bahayenge
In Aansuon Ki Qabr Mein Lazzat Uthayenge

Yasrib Mein Khaak Urti Hai Batha Udaas Hai
Mahboob-e-Zuljalal Ka Rauza Udaas Hai
Shabbir Hain Safar Mein Madina Udaas Hai
Ghar Sayein Sayein Karta Hai Sughra Udaas Hai
Ummat Pe Shah Jaate Hain Qurban Hone Ko
Sher-e-Ilah Nikle Hain Turbat Se Rone Ko

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.