Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hai Ajab Shaam Ke Zindaan Mein Kohraam Bapa

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduBibi SakinaMuharram
Hai Ajab Shaam Ke Zindaan Mein Kohraam Bapa portrays little Sakina’s sorrow in captivity in Damascus. She tells her aunt Zainab of a dream of her father, Imam Hussain, and yearns to return to him. Its closing verses mourn the young child’s death in the prison.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Safar
Original
Urdu

Lyrics

Hai Ajab Shaam Ke Zindaan Mein Kohraam Bapa Lyrics

WA

Hai Ajab Shaam Ke Zindaan Mein Kohraam Bapa
Bayn Se Baali Sakina Ke Larazti Hai Fiza
Sard Hai Saara Badan Zard Hai Gham Se Chehra
Aah Karti Hai Toh Hil Jaata Hai Zindaa Saara

Khwaab Se Chaunk Kay Uth Bethi Hai Roti Roti
Apnay Seenay Se Lagaye Huway Bethi Hai Phupi
Rokay Kehti Hai Ke Baba Meray Paas Aaye Thay
Phupi Amma Woh Meray Paas Yahan Bethay Thay

Mujh Se Kehtay Thay Mera Dil Nahi Lagta Beti
Aaja Ab Aaja Meri Godh Mein Aaja Beti
Kabsay Baychayn Hoon Surat Toh Dikha Doh Mujko
Phupi Amma Meray Baba Se Milado Mujko

Woh Yaheen Hongay Kaheen Aap Zara Dein Toh Sada
Kehiye Unsay Meri Jaanib Se Ke Beti Ho Fida
Door Hi Se Zara Aawaz Sunado Mujko

Gham Se Phat Jayega Beti Ka Kaleja Baba
Bakhsh Doh Mujko Agar Ki Ho Koyi Menay Khata
Hoon Sazawaar Par Itni Na Saza Doh Mujko

Shukr Allah Ka Mushkil Huwi Asaan Meri
Kat Gaye Qaid Ke Din Aagayi Rukhsat Ki Ghari
Ab Safar Khayr Se Guzray Ye Dua Doh Mujko

Hai Khushi Ki Ye Ghari Aankh Na Keejye Purnam
Aap Ko Deti Hoon Mein Aun O Mohammad Ki Qasam
Muskuratay Huway Jaanay Ki Raza Doh Mujko

Bandh Ankhein Huwi Jaati Hain Meri Dekhein Zara
Loriyaan Deti Hai Mujko Koyi Manoos Sada
Neend Aati Hai Phupi Jaan Sulado Mujko

Maangiye Ab Na Duaein Meray Jeenay Ke Liye
Dekhiye Aagaye Baba Mujhay Lenay Ke Liye
Qibla Roo Karkay Phupi Jaan Litado Mujko

Haye Taqdeer Ke Mar Kar Bhi Raheen Zindaan Mein
Qabr Bhi Paayi Toh Bachi Nay Waheen Zindaan Mein
Kya Khata Ki Thi Sakina Nay Batado Mujko

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Bibi Sakina, Sayyida Zainab, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Safar
Themes
Bibi Sakina in captivity, Longing for Imam Hussain, Grief of Sayyida Zainab
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.