Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hai Janaza Haider e Karrar Ka

Mir Hasan Mir

2020Urdu
2020UrduImam Ali21 Ramadan
Hai Janaza Haider e Karrar Ka is a 2020 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, written by Mir Takallum Mir and composed by Raza Shah. Commemorating the martyrdom of Imam Ali, it portrays his funeral, the grief of Bibi Zainab and Hazrat Abbas, and the mourning of the people of Kufa.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Ali
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original
Urdu

Lyrics

Hai Janaza Haider e Karrar Ka Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hai Janaza Haider e Karrar Ka

Hai Janaza Haider e Karrar Ka

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Hai Janaza Haider e Karrar Ka

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Momino do mil ke kandha
Hai janaza Haider-e-Karrar ka
Chal basa Zainab ka Baba
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Kis ne yeh mehrab mein rukn-e-hidayat dha diya
Yeh sitam kaisa hua
Noha yeh Jibreel ka tha
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Rok lo bhaiyya janaza mere Baba jaan ka
Ro ke Zainab ne kaha
Dekh loon chehra dobara
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Koi Zainab se yeh keh de ro le ji bhar kar abhi
Saath hain bhai sabhi
Hai salamat tera parda
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Eid hai nazdeek aur ghar mein qayamat ho gayi
Hai saf-e-matam bichhi
Keh rahi hai ro ke Zahra
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Kaun Koofe ke yateemon ka rakhega ab khayal
Gham se hain saare nidhaal
Shor hai wa ghurbata ka
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Baap ke qadmon pe sar rakh kar Haram ki aas ne
Yeh kaha Abbas ne
Alvida Ghazi ke Baba
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Teer aayega janaze par na patthar aayega
Aur na wapas jayega
Shaan se yeh dafn hoga
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Shaam ka ahwaal jab beti se kehte the Ali
Gham ke maare us ghari
Zard tha Maula ka chehra
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Hai Takallum yeh qayamat rozedaron ke liye
Pursa-daron ke liye
Aao dein Mehdi ko pursa
Hai janaza Haider-e-Karrar ka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Ali
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.