Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zainab Tera Zakhmi Baba

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam Ali21 Ramadan
Zainab Tera Zakhmi Baba is a 2021 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum. Commemorating the martyrdom of Imam Ali on 21 Ramzan, it portrays his wounded return from Masjid-e-Kufa and the grief of Bibi Zainab, Imam Hasan, Imam Hussain and the Prophet's household.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Ali
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original
Urdu

Lyrics

Zainab Tera Zakhmi Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zainab Tera Zakhmi Baba

Zainab Tera Zakhmi Baba

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Zainab Tera Zakhmi Baba

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Ali, Haaye Ali, Haaye Ali, Haaye Ali

Fajr unneesween Ramzan ki tarpati hai
Fatima Zahra ki jis waqt sada aati hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai
Kaandhon pe uthaye yun bete hain laaye, lagta hai janaza hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Mushkil se safar yeh tay hai kiya, jaari hai lahu ka darya
Masjid se ghar tak har ek qadam par, beton ne sambhala hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Haalat hi ajab hai Baba ki, pehchanna mushkil hoga
Zahra ki ghareebi yaad aayegi Bibi, tar khoon mein chehra hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Jarrah se hujre ke bahar jab haal Hasan ne poochha
Woh ro ke pukara, mushkil hua jeena, yeh zakhm hi aisa hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Ab Shaam-e-Ghareeban mein tum ko yeh chehra nazar aayega
Aye Sani-e-Zahra, kuchh roz ka mehman ab aap ka Baba hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Yeh shaana hila kar kehti hain Abbas-e-Jari ki madar
Bibi uth jao, ashkon ko chhupao, Baba ne bulaya hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Qadmon mein gir ke Zainab ke Ghazi ki behan yeh boli
Baba ko bacha lo, sadqe mujhe kar do, hazir yeh Ruqaiyya hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Ek roz akele aana hai is shehar mein tujh ko Bibi
Kya hoga na jaane Shehzadi, abhi se badla hua Koofa hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas-e-Jari ke baazu
Katte dekhogi aye Baba ki pyaari, yeh zakhm to pehla hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Yeh keh ke Takallum beti se khamosh hue the Maula
Darbar ke dar par main aaunga milne, Zainab mera waada hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba ghar laut ke aaya hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Ali
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.