Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aliyun Waliullah

Mir Hasan Mir

2015Urdu
2015UrduImam AliMuharram
Aliyun Waliullah is a devotional noha recited by Mir Hasan Mir for his Volume 2015 collection. The verses honour the steadfastness of Sayyida Fatima Zahra and the family of Imam Ali in proclaiming Wilayat.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Lyrics

Aliyun Waliullah Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aliyun Waliullah

Aliyun Waliullah

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aliyun Waliullah

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ashhadu anna Aliyyan Waliyyullah ×2
Ya Ali ×4
Haaye Ali ×4

Zahra se poochho kya hai Aliyun Waliullah
Is ke liye Batool ka do baar ghar jala
Baghdad, Shaam-o-Kufa, Khurasan-o-Karbala
Ummat ne Fatima ko kahaan dukh nahin diya
Sab kuchh lutaaya deen ki hifaazat ke waaste
Zahra ujar gayi hai wilayat ke waaste

Darbaar mein bachaane gayi Fatima Zahra ×2
Aliyun Waliullah ×4

Sunta na tha Madine mein Zahra ki koi baat
Le kar Hasan Hussain ko har subah apne saath
Ghar ghar pe yaad jaa ke dilaati thi Sayyida ×2
Aliyun Waliullah ×4

Gham mein Abu Turab ke ghut ghut ke mar gayi
Dar-parda Fatima ki wasiyyat yahi to thi
Aaye na woh janaaze par jis ne nahin parha ×2
Aliyun Waliullah ×4

Tooti hui thi pasliyaan, dam tha ruka hua
Tha Sayyida pe jalta hua dar gira hua
Phir bhi lab-e-Batool pe jaari thi yeh sada ×2
Aliyun Waliullah ×4

Zainab pukaari, aye mere mazloom be-watan
Waada tumhaari laash pe karti hai yeh behan
Ek din zaroor Shaam ki galiyon mein goonjega ×2
Aliyun Waliullah ×4

Aaye Najaf se Shaam-e-Ghareebaan mein jab Ali
Zainab yeh keh ke apne pidar se lipat gayi
Khanjar tale bhi bhai ke zakhmi labon pe tha
Aliyun Waliullah ×4

Boli Sakina, aaya jo zindaan mein Sheh ka sar
Kaise bataaun Shaam ka kaise kiya safar
Gir gir ke khoon kaanon se deta raha sada ×2
Aliyun Waliullah ×4

Zindaan mein ek qabr banaane ke waaste
Hamsheer ka janaaza uthaane ke waaste
Naad-e-Ali ki shakl mein Sajjad ne parha ×2
Aliyun Waliullah ×4

Na-mehramon ki bheer thi darbaar-e-Shaam mein
Zainab ne de ke khutba zabaan-e-Imam mein
Be-waqt ki azaan mein dabne nahin diya ×2
Aliyun Waliullah ×4

Maa ki lahad pe bain Takallum the beti ke
Pehlu pe zakhm kha ke bachaaya tha aap ne
Maine rida luta ke bachaaya hai ba-Khuda ×2
Aliyun Waliullah ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Ali, Sayyida Fatima Zahra, Imam Hussain, Imam Hasan, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Wilayat, Ahlulbayt, Sayyida Fatima Zahra, Karbala
Original language
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.