Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mola Rotay Jatay Hain

Mir Hasan Mir

2022Urdu
2022UrduImam Ali21 Ramadan
Mola Rotay Jatay Hain is a noha recited by Mir Hasan Mir for the martyrdom of Imam Ali (AS) on 21 Ramzan. Written by Mir Takallum, it portrays the final moments of the wounded Imam, his concern for his daughter Bibi Zainab, and his grief over the future suffering of the Ahlulbayt at Karbala, Kufa and Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2022
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original
Urdu

Lyrics

Mola Rotay Jatay Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mola Rotay Jatay Hain

Mola Rotay Jatay Hain

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Mola Rotay Jatay Hain

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raji'un

Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Maula Rote Jaate Hain

Abbas Ke Aansu Ponchhte Hain
Shabbir Ko Kuch Samjhate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Sar Dekh Ke Zakhmi Baba Ka Jab Betiyan Rone Lagti Hain
Bachchon Ko Tasalli Ki Khatir Zahra Ka Dard Sunate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Zakhmi Maula Ki Aankhon Mein Zakhmi Mashkeza Phirta Hai
Abbas-e-Jali Ke Hathon Se Qatil Ko Jaam Pilate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Haye...
Phirta Hai Nigahon Mein Manzar Bazaron Ka Darbaron Ka
Kuch Der Ko Ghar Ke Aangan Mein Zainab Ko Saath Chalate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Ik Roz Isi Koofe Mein Tumhein Be-Parda Haram Ko Lana Hai
Abid Ko Laga Kar Seene Se Bazaar Ka Haal Sunate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Bhai Ke Saath Meri Zainab Jayegi Jahan Jaane Dena
Yeh Tumko Wasiyat Hai Meri Abdullah Se Farmate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Sadat Ke Rone Ki Jo Sada Parde Se Bahar Aati Hai
Pehchan Lo In Aawazon Ko Logon Se Kehte Jaate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Haye...
Maloom Tha Ik Din Shaanon Mein Zainab Ke Rasan Bandh Jayegi
Are Shabbir Se Keh Ke Qatil Ke Hathon Se Rasan Khulwate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Jab Naz'a Ki Hichki Aati Hai Zainab Pe Nazar Ruk Jaati Hai
Allah Tujhe Aabad Rakhe Honton Se Dua Farmate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Poochha Hai Takallum Zainab Ne Haider Se Yeh Aakhri Saanson Mein
Are Kyun Bazu Dekhe Jaate Hain Kyun Sar Ko Choome Jaate Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain
Zainab Ka Chehra Dekhte Hain
Aur Maula Rote Jaate Hain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2022
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
21 Ramadan, Shahadat Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.