Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduMuharram
Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mir Sajjad Mir. A lament for the lost chadors of the women of the Ahlulbayt after Karbala. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar

Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Wa hijaaba ×10
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar ×5
Shaam tak neze pe deti thi duhaayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar ×2

Jiske Baba ne urhaayi thi rida Kaabe ko ×2
Uski beti ko kisi ne na urhaayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Bas yahi kehti thi Abbas ke sar se Zainab ×2
Mere Bhai ×2 mere Bhai, chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Sharm se chhup gayi Sajjad ke peechhe Zainab ×2
Hind zindaan mein jo orhe hue aayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Paaon khat dete rahe door talak bachchi ke
Shimr ne aise Sakina se chhuraayi chaadar
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Gir pari khaak pe Abbas ki maa sadme se ×2
Apne baazu se jo Zainab ne hataayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Haaye roti hui Zainab ne kiya shukr-e-Khuda
Sar pe Sughra ke nazar jis ghari aayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Zindagi mein na urha paaye magar Abid ne
Qabr par baali Sakina ke urhaayi chaadar ×2
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar

Mir Sajjad jo loota hua asbaab mila ×2
Pehle Sajjad ne aankhon se lagaayi chaadar
Haaye Abbas ki behnon ne na paayi chaadar ×2
Wa hijaaba ×10

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.