Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Nau Nihalon Ke Meer-e-Karwan Asghar

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduAli AsgharMuharram
Haye Nau Nihalon Ke Meer-e-Karwan Asghar remembers the infant Ali Asghar’s martyrdom in Karbala. Its verses honour his innocence and sacrifice, Imam Hussain’s grief and the enduring remembrance of the thirsty child.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Haye Nau Nihalon Ke Meer-e-Karwan Asghar Lyrics

WA

Haye Nau Nihalon Ke Meer-e-Karwan Asghar
Zindagi Ki Raah Mein Meer-e-Javedan Asghar
Karbala Pahunchte Hi Ho Gaye Jawan Asghar
Tum Ne Hi Mukammal Ki Gham Ki Dastan Asghar

Karbala Mein Woh Teri Jang Al-Amaan Asghar
Tegh-e-Lab Se Baatil Ki Kaat Di Zabaan Asghar
Surkhi-e-Shahaadat Hai Teri Dastan Asghar
Haye Nau Nihalon Ke Meer-e-Karwan Asghar

Sin Yeh Chhe Maheene Ka Yeh Shabaab Ka Aalam
Nanhe Nanhe Qadmon Par Kar Liya Jahaan Ko Kham
Hans Raha Tha Tu Lekin Chashm-e-Zulm Thi Purnam
Kar Diya Qayamat Tak Kham Yazid Ka Parcham

Do Jahaan Pe Bhaari Hai Teri Ek Qurbani
Tu Bara Bahadur Tha Aye Hussain Ke Jaani
Tujh Ko Chhed Kar Ki Thi Hurmala Ne Naadani
Beh Raha Tha Tera Khoon Tar Thi Uski Peshaani

Hurmala Laraz Utha Tan Ke Jab Kiya Naara
Teer Kha Ke Jeete Tum Woh Teer Maar Kar Haara
Ek Hashr Barpa Tha Goonjta Tha Ran Saara
Phir Ali Ke Pote Ne Gul-e-Kufr Ko Maara

Karbala Ke Maidan Mein Tu Agar Jawan Hota
Jurrat-o-Shujaat Ka Barh Ke Aasmaan Hota
Tol Kar Ali Ki Tegh Ran Ko Jab Rawan Hota
Is Jahaan Ke Naqshe Par Shaam Phir Kahaan Hota

Tu Kamaal-e-Aadam Hai Tu Kamaal-e-Insaani
Teri Fikr Laa-Mehdoood Tera Azm Laa-Faani
Munfarid Bahaadur Hai Tu Nahin Tera Saani
Deen Ki Ragon Mein Hai Tere Khoon Ki Taabaani

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Imam Hussain, Bibi Rabab, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Martyrdom of Ali Asghar, Innocence and sacrifice, Thirst of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.