Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Husainiyat Zindabaad, Payenda Baad

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Husainiyat Zindabaad, Payenda Baad celebrates Imam Hussain’s sacrifice, the defeat of tyranny, and the enduring moral strength of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Husainiyat Zindabaad, Payenda Baad Lyrics

WA

Waah Aye Husain Raaz-e-Zindagi Ko Paa Liya
Payambaron Se Jo Na Uth Saka Woh Baar Utha Liya
Kuch Is Tarah Se Barh Ke Maut Ko Gale Laga Liya
Hayaat Muskura Uthi Ajal Ne Sar Jhuka Liya

Maut Ko Hayaat Kar Diya Husain Marhaba
Aye Husain Mustafa Ke Noor-e-Ain Marhaba
Ali Ki Jaan Fatima Ke Dil Ke Chain Marhaba
Har Ek Zaban Pe Hai Shah-e-Mashriqain Marhaba

Zulm-o-Jaur Khatm Ho Gaye Guzar Gaya Yazeed
Zulm Khud Hai Dam-Ba-Khud Woh Kaam Kar Gaya Yazeed
Kis Taraf Gaye Husain Aur Kidhar Gaya Yazeed
Mar Ke Bhi Jiye Husain, Ji Ke Mar Gaya Yazeed

Yazeediyat Thi Auj Par Zawaal Par Tha Aadmi
Panaah Ki Talaash Mein Bhatak Rahi Thi Zindagi
Labon Pe Jaan Thi Saans Le Raha Tha Deen Aakhri
Tere Lahoo Se Ji Gayi Shariyat-e-Muhammadi

Ajeeb Tarz Se Jahan Ko Dars-e-Bandagi Diya
Naha Ke Apne Khoon Mein Khuda Ka Shukr Ada Kiya
Tarap Tarap Ke Samne Jawan Laal Mar Gaya
Ali Ke Laal Ne Magar Na Sar Ko Apne Kham Kiya

Bujha Ke Apne Ghar Ka Noor Dil Mein Noor Bhar Gaya
Dilon Ko Sar Kiya Agarchay Dekhne Mein Sar Gaya
Jo Ghutniyon Na Chal Saka Baray Baron Se Barh Gaya
Hansi Hansi Mein Dil Mein Kainaat Ke Utar Gaya

Jawan Laal Ko Sulagti Ret Par Sula Diya
Khuda Ki Raah Mein Sagheer Ka Gala Barha Diya
Barha Jo Aur Zulm To Khud Apna Sar Kata Diya
Yazeediyat Ko Hashr Tak Nigah Se Gira Diya

Labon Pe Pher Kar Zaban Ek Sawal Ban Gaya
Pidar Ke Haath Par Jawan Nau-Nihal Ban Gaya
Wafa Ki Raah Mein Husain Ka Kamaal Ban Gaya
Sagheer-e-Be-Zaban Yazeed Ka Zawaal Ban Gaya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar, Imam Ali, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Enduring legacy of Hussain, Sacrifice for faith, Resistance to tyranny
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.