Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Aaya Hai Dekho To Ek Nazar Amma

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Hussain Aaya Hai Dekho To Ek Nazar Amma presents Imam Hussain’s heartbreaking farewell to his mother Fatima Zahra, recalling family sorrow and his longing for her.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Aaya Hai Dekho To Ek Nazar Amma Lyrics

WA

Hussain Aaya Hai Dekho To Ek Nazar Amma
Sadaein Deta Hai Kab Se Tera Pisar Amma

Woh Dekho Zainab-o-Kulsoom Ro Rahi Hain Wahan
Tarap Ke Bhaiya Hasan Kar Rahe Hain Aah-o-Fughan
Na Jao Aise Bhare Ghar Ko Chhor Kar Amma

Kyun Hum Se Rooth Ke Jati Ho Is Tarah Bolo
Main Tumko Jane Nahi Dunga Aankh To Kholo
Nahi Tumhare Bina Umr Ka Basar Amma

Yeh Kaisa Daur Hamein Waqt Ne Hai Dikhlaya
Siron Se Uth Gaya Bachpan Mein Aap Ka Saya
Katega Kaise Tere Baad Yeh Safar Amma

Main Tumko Kab Se Jagata Hoon Kyun Nahi Uthtin
Sadaein Deta Hoon Ro Ro Ke Bolti Hi Nahin
Khudara Bolo Ke Phat-Ta Hai Ab Jigar Amma

Shaheed Ho Gaya Mohsin Jalaya Ghar Amma
Tumhara Pehlu Hai Zakhmi Giraya Dar Amma
Jannat Mein Dena Yeh Nana Ko Sab Khabar Amma

Tumhare Baad Maza Kuch Nahi Hai Jeene Ka
Hai Sogwar Har Ek Baam-o-Dar Madine Ka
Mujhe Bhi Le Chalo Jati Ho Tum Jidhar Amma

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Imam Hasan, Sayyida Zainab, Sayyida Umm Kulthum, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram, Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Farewell to a mother, Grief of the Ahlul Bayt, Imam Hussain’s longing
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.