Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Ka Gham Manane Walo

Shadman Raza

2018Urdu
2018UrduImam HussainMuharram
Hussain Ka Gham Manane Walo is an Urdu Noha recited by Shadman Raza. It calls upon mourners of Imam Hussain (AS) to embody the message of Karbala through worship, loyalty, justice, service to the oppressed and preparation for Imam Mahdi (AJ).Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Ka Gham Manane Walo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hussain Ka Gham Manane Walo

Hussain Ka Gham Manane Walo

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Hussain Ka Gham Manane Walo

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Labbaik Ya Hussain ×2

Hussain Ka Gham Manane Walo
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Suno Suno Aye Zamane Walo
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Hussain Ka Gham Manane Walo
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Yehi To Hai Intezaar-e-Mehdi
Sada-e-Hal Min Ka Hai Yeh Matlab ×2
Wafa-e-Abbas Mein Bano Tum
Muhafizan-e-Mazar-e-Zainab ×2
Wafa Ka Parcham Uthane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Azeem Hurr Tha Ke Jisne Aakhir
Hussain Par Jaan Apni Di Hai ×2
Kabhi Yeh Socha Hai Zakiro Ne
Kabhi Yeh Aawaz Bhi Suni Hai ×2
Ke Zikr-e-Hurr Ka Sunane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Jo Khaibar-e-Waqt Mein Laroge
To Karbala Se Na Hogi Doori ×2
Jahan Bhi Mazloom Pis Rahe Hain
Wahan Pe Imdaad Hai Zaroori ×2
Ali Ke Naare Lagane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Yehi To Maqsood-e-Karbala Hai
Ke Imtehaan-e-Wafa Yehi Hai ×2
Hai Mil Chuke Tumko Sab Wasail
Magar Iraade Mein Kuch Kami Hai ×2
Ziyaraton Pe Na Jaane Walo
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Jo Ibn-e-Zahra Pe Jaan Denge
Unhi Ke Honge Bare Muqaddar ×2
Zuhair-e-Qain Aayenge Yaqeenan
Kaha Hai Zaujaan-e-Aage Barh Kar ×2
Chalo Chalo Aye Zamane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Jo Al-Ajal Ki Sada Lagaye
Woh Apna Kirdaar Bhi Dikhaye ×2
Imam-e-Mehdi Ke Hain Jo Nasir
Habib Ibn-e-Mazahir Aaye ×2
Ke Dosti Ko Nibhane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Yehi To Paigham-e-Karbala Hai
Hai Nusraton Ka Sawaal Laazim ×2
Ke Nasiro Ke Liye Raha Hai
Hamesha Rizq-e-Halaal Laazim ×2
Halaal Rozi Kamane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Namaz Ko Chhor Dene Walo
Imam Ka Saamna Karoge ×2
Amal Ke Baare Mein Kya Kahoge
Hussain Ko Kya Jawaab Doge ×2
Ghina Ki Mehfil Sajane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Ghira Hua Hai Jo Lashkaron Mein
Imam-e-Dauraan Bula Raha Hai ×2
Suna Hai Jab Se Yeh Istighasa
Sagheer Jhule Se Gir Gaya Hai ×2
Ke Teer Par Muskurane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Maashre Mein Madad Karo Tum
Yateem Mazloom Mar Raha Hai ×2
Qamar Baseerat Ki Aankh Kholo
Yehi Kahin Par Hi Karbala Hai ×2
Juloos-o-Majlis Mein Jaane Walo ×2
Hussain Tumko Bula Rahe Hain

Labbaik Ya Hussain ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain, Imam Mahdi, Hazrat Abbas, Sayyida Zainab, Hazrat Hurr, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
The call of Imam Hussain, Service to humanity, Awaiting Imam Mahdi, Azadari and righteous conduct
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.