Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Shadman Raza

2026Urdu
2026UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai is a 2026 Urdu Noha recited by Shadman Raza. Its verses voice the grief of Sayyida Fatima Zahra (SA), remembering the suffering of her household, the dispute over Fadak, and an appeal to Imam Mahdi. Read the Roman Urdu, Urdu and English versions of this devotional lament.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Baba, Mere Baba ×4
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai
Madine Ki Galiyon Mein Mehshar Bapa Hai
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Suno Rahmat-ul-lil-Alameen, Tum Kahan Ho
Khabar Apni Beti Kuch Baba Jaan Lo
Bhadakte Hue Surkh Sholon Se Dekho
Jalati Hai Ummat Mere Aashiyan Ko
Musalman Ki Ghairat Ko Kya Ho Gaya Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Utha Shor Ghodon Ki Tapon Ka Aise
Dagha Ka Irada Ho Logon Ka Jaise
Yeh Bint-e-Payambar Ko Dhamkane Wale
Bhula Aaye Ajr-e-Risalat Ko Kaise
Rasan Mein Ali Murtaza Ka Gala Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Sanad Mere Haq Ki Hawa Mein Uda Kar
Kaha Mujhse Hakim Ne Jab Muskura Kar
Fadak Mangti Hai Muhammad Ki Beti
Wilayat Pe Quran Ki Ayat Bhula Kar
To Darbar Mein Ro Pari Fatima Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Haye, Ali Kab Se Khamosh Ho, Sar Uthao
Zamane Ke Mushkil-Kusha Paas Aao
Zara Ponch Kar Apni Zainab Ke Aansu
Hussain-o-Hassan Ko Gale Se Lagao
Mera Qatl Aaghaz-e-Karb-o-Bala Hai
Haye Baba, Bari Zakhmi Hai Fatima

Hassan, Tujhko Ummat Ne Kya Din Dikhaya
Madine Mein Maa Ki Yeh Ghurbat, Khudaya
Tere Samne Aaj Qunfuz Ne Mujhko
Tamacha Laga Kar Zameen Par Giraya
Mera Laal Kamsin Khara Dekhta Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Jise Apna Tukra The Kehte Payambar
Khari Hai Woh Ghanton Se Masjid Ke Andar
Diya Aisa Khutba Ke Salman-o-Buzar
Gire Wa Muhammad Ki Aawaz De Kar
Dil-e-Mustafa Qabr Mein Kanpta Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Lagata Rashko Mein Saadiyan Waha Kar
Shaheedon Ka Laashon Pe Phir Aaj Aakar
Suno Maa Musalsal Sada De Rahi Hai
Chale Aao Mehdi, Yeh Parda Hata Kar
Mere Muntaqim, Der Aur Ab Kya Hai
Dar-e-Fatima Se Dhuan Uth Raha Hai

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra
Haye Baba, Mere Baba ×4
Bari Zakhmi Hai Fatima

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Imam Mahdi
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Sufferings of Sayyida Fatima Zahra, Burning of the door in devotional lament, Fadak and the sermon of Fatima Zahra, Appeal to Imam Mahdi
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.