Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Shadman Raza

2024Urdu
2024UrduImam AliShahadat Imam Ali
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki is a 2024 Urdu Noha recited by Shadman Raza, with poetry credited to Adil Nazar. The lament portrays the daughters of Imam Ali mourning their wounded father and his funeral. Read the Roman Urdu lyrics alongside Urdu script and an English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Occasion
Shahadat Imam Ali, 21 Ramadan
Original
Urdu

Lyrics

Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Babajaan ×8

Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki ×2
Dekh Kar Zakhmi Baba Ka Chehra
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Baap Hota Hai Jiska Salamat
Beti Hoti Hai Woh Shahzadi ×2
Soch Kar Dil Hua Para Para
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Haath Zainab Ke Sar Par Rakha Aur
Keh Ke Itna Hi Maula Bhi Roye ×2
Bas Salamat Rahe Tera Parda
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Dekh Kar Zakhmi Baba Ka Chehra
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Kar Ke Beton Ko Saari Wasiyyat
Ho Gaye Maula Duniya Se Rukhsat ×2
Aa Gayi Dene Zahra Dilasa
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Peet Ke Sar Koi Ro Raha Hai
Koi Baba Ka Munh Choomta Hai ×2
Gham Mein Dooba Hai Saara Gharana
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Saara Kufa Hi Nauha-Kunaan Hai
Ghar Mein Zahra Ke Maatam Bapa Hai ×2
Uth Raha Hai Ali Ka Janaza
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Dekh Kar Zakhmi Baba Ka Chehra
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Le Ke Ghar Se Chale Jab Janaza
Yeh Dua Lab Pe Ghazi Ke Aayi ×2
Jeete Ji Main Na Dekhoon Dobara
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Boli Zainab Mujhe De Do Bhaiyya
Mere Baba Ki Koi Nishani ×2
Ho Musalla, Aba Ya Amama
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Dekh Lena Nazar Har Kisi Ka
Haath Maatam Ko Khud Hi Uthega ×2
Shadmaan Jab Padhega Yeh Nauha
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki
Khoon Se Tar Ho Gaya Hai Musalla
Betiyan Ro Rahi Hain Ali Ki

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Personalities
Imam Ali, Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas
Occasion
Shahadat Imam Ali, 21 Ramadan
Themes
Martyrdom of Imam Ali, Grief of Imam Ali’s daughters, Funeral of Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.