Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bahot Roya Hai

Shadman Raza

2023Urdu
2023UrduImam HussainMuharram
Bahot Roya Hai is a 2023 Urdu Noha recited by Shadman Raza. It imagines a monk contemplating the severed head of Imam Hussain and the suffering visible on his face after Karbala. Read the version in Roman Urdu, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2023
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Bahot Roya Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bahot Roya Hai

Bahot Roya Hai

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Bahot Roya Hai

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Dehr-e-Rahib Mein Jo Sarwar Ka Kata Sar Aaya
Noor Chehre Ka Jo Dekha To Bahut Ghabraya
Utha Taazeem Ko, Naize Ke Baraabar Aaya
God Mein Le Ke Woh Sar Hujre Ke Andar Aaya
Saaf Karta Tha Lahoo, Mahv-e-Buka Tha Rahib
Munh Pe Munh Rakh Ke Yehi Soch Raha Tha Rahib
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai ×2

Varm Aankhon Ka Batata Hai Bahut Saabir Hai
Haye Baalon Ki Safedi Se Yehi Zaahir Hai
Ho Na Ho Isne Baraabar Ka Pisar Khoya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh Kar Chehre...

Jaane Yeh Kaun Hai, Dil Mera Phata Jaata Hai
Ya Nabi-Zada Koi Hai Ya Wali-Zada Hai
Baad Marne Ke Bhi Naize Pe Jo Yeh Goya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh Kar Chehre...

Yeh Ragein Khushk Batati Hain Bada Pyaasa Tha
Jis Ghadi Tegh Se Zaalim Ne Gala Kaata Tha
Kaun Si Maa Hai Yeh Jisne Yeh Pisar Khoya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Baal Sab Khoon Mein Mitti Mein Ate Hain Iske
Honth Bhi Pyaas Ki Shiddat Se Phate Hain Iske
Apne Ashkon Se Hi In Honthon Ko Bhigoya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Log Kehte Hain Badi Eeza Uthai Isne
Qabr Masoom Se Bachche Ki Banai Isne
Khoon-e-Masoom Se Hi Zakhm-e-Jigar Dhoya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Dhyaan Jab Aaya Behan Ka Tah-e-Khanjar Roya
Sar Khule Dekha To Phir Naize Ke Upar Roya
Yeh Muqaddar Ise Kis Mod Pe Le Aaya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Honth Masoom Si Bachchi Ke Bhi Pyaase Dekhe
Haye Lagte Hue Gaalon Pe Tamaache Dekhe
Rassiyon Se Bandha Nanha Sa Gala Dekha Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Jis Ghadi Qasim-e-Muztar Gaye Maare Roya
Bhai Ki Laash Pe Darya Ke Kinaare Roya
Dono Haathon Se Kamar Pakde Hue Pahuncha Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh...

Shadmaan, God Mein Rakhe Tha Qamar Ko Rahib
Bain Kehta Tha Yehi Choom Ke Sar Ko Rahib
God Mein Chaand Ka Tukda Yeh Meri Soya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai
Laashein Ghar Bhar Ki Utha Kar Yeh Abhi Soya Hai
Dekh Kar Chehre Ko Lagta Hai Bahut Roya Hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab, Hazrat Abbas, Ali Asghar, Hazrat Qasim, Bibi Sakina
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
The head of Imam Hussain, The monk and the severed head, Mourning the martyrs of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.