Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Shadman Raza

2024Urdu
2024UrduImam HussainMuharram
Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun is a 2024 Urdu Noha recited by Shadman Raza. It depicts Imam Hussain mourning his infant son Ali Asghar and the anguish of preparing his burial on the burning ground of Karbala. Read the Roman Urdu text, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Personalities
Imam Hussain, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Mai Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Rakh Bhi To Nahin Sakta Teri Laash Zameen Par
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Rakhoonga Zameen Par Jo Tujhe Mere Jiyale
Hai Garm Zameen, Jism Pe Pad Jayenge Chhaale
Shabbir Ko Ab Tu Hi Bata Hasliyon Waale
Khud Sambhla Nahin Jaata, Tujhe Kaise Sambhaale
Asghar Ko Kaha Shah Ne Seene Se Laga Kar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Yeh Baat Alag Hai Ke Taraste Ho Kafan Ko
Dafnana Zaroori Hai Bahut Nanhe Badan Ko
Warna Yeh Laeen Kar Denge Pamaal Badan Ko
Maa Teri Na Seh Payengi Is Ranj-o-Mihan Ko
Phir Rote Rahe Der Talak Shah Yeh Keh Kar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Hai Yeh Bhi Khabar Qabr Mein Na Chain Milega
Hai Garm Zameen, Garm Hawa Jism Jalega
Paani Ke Bina Dhoop Ki Shiddat Na Sahega
Gar Dafn Na Ho Paaya To Ghodon Se Rundega
Laaya Hoon Tujhe Isliye Daaman Mein Chhupa Kar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Aankhon Mein Andhera Hai, Nazar Kuchh Nahin Aata
Tooti Hai Kamar, Baith Ke Utha Nahin Jaata
Zaanu Pe Sula Kar Main Tujhe Lori Sunaata
Ek Haath Se Phir Beta Teri Qabr Banaata
Majboor Hoon Ab Uth Bhi Nahin Sakta Main Gir Kar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Ek Boond Hi Paani To Faqat Maang Raha Tha
Sookha Hua Seh-Roz Se Nanha Sa Gala Tha
Jo Teer Teri Nanhi Si Gardan Pe Laga Tha
Woh Teer Mere Laal Tere Qadd Se Bada Tha
Paani Na Diya, Qatl Tujhe Kar Diya Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Hai Phool Sa Nazuk Yeh Tera Chaand Sa Chehra
Kis Dil Se Dabaoonga Ise Khaak Mein Beta
Mar Jaoonga Sadme Se Yahin Baap Hoon Tera
Aa Jayega Us Waqt Mere Munh Ko Kaleja
Daloonga Tere Rukh Pe Jo Main Ret Utha Kar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Al-Qissa Qamar Qabr Banane Lage Sarwar
Asghar Ko Utha Lete The Rakh Rakh Ke Zameen Par
Ae Shadmaan Kehte The Ajab Waqt Hai Hum Par
Be-Kafan Hi Dafnana Padega Tujhe Asghar
Ab Taab Nahin Baaqi Mere Jism Ke Andar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun
Hai Jalti Zameen, Tu Hi Bata Ae Mere Asghar
Main Laash Uthaun Ya Teri Qabr Banaun

Ae Mere Laal Meri Jaan, Meri Jaan Asghar ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Personalities
Imam Hussain, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Martyrdom of Ali Asghar, Grief of Imam Hussain, Burial of Ali Asghar
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.