Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Sab Teri Qurbaniyon Ka Sadqa Hai

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Hussain Sab Teri Qurbaniyon Ka Sadqa Hai honours Imam Hussain’s sacrifices, the tears of mourners, and the duty to stand against injustice.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Sab Teri Qurbaniyon Ka Sadqa Hai Lyrics

WA

Hussain Sab Teri Qurbaniyon Ka Sadqa Hai
Ke Aaj Tak Dil-e-Insaniyat Dharakta Hai

Gham-e-Hussain Mein Aansu Phir Uske Baad Iram
Khareed Lo Ke Yeh Sauda Bahut Hi Sasta Hai

Lahu Hussain Ka Kuch Aisa Kar Gaya Roshan
Ke Aandhiyon Mein Bhi Haq Ka Charagh Jalta Hai

Mubahile Ki Yeh Soorat Bata Rahi Hai Hamein
Ke Panjatan Ke Muqabil Jo Aaye Jhoota Hai

Hussainiyat Ko Lahu Chahiye Baqa Ke Liye
Yazeediyat Ne Phir Ek Baar Sar Ubhara Hai

Use Hussain Se Nisbat Na Do Khuda Ke Liye
Jo Haq Ki Raah Mein Batil Se Khauf Khata Hai

Use Kaho Na Azadar-e-Syed-e-Mazloom
Jo Maslihat Se Gham-e-Sheh Mein Kaam Leta Hai

Hussainiyat Se Baghawat Ka Sar Kuchal Dalo
Yeh Sar-Zameen Ka Sab Se Ghareeb Fitna Hai

Hai Kya Jawaz-e-Sitam Aye Zameen-e-Karb-o-Bala
Ke Teen Roz Se Mehman Tera Pyasa Hai

Ilahi Khair Kisi Ki Nazar Na Lag Jaye
Zaeef Baap Ka Karyal Jawan Beta Hai

Jise Hussain Ne Atharah Saal Pala Tha
Zameen-e-Garm Pe Woh Aediyan Ragarhta Hai

Khudara Is Ko Tamache Na Maar Aye Zalim
Yeh Bachi Gham Ki Satayi Hui Sakina Hai

Na Loot Chadar-e-Zainab Na Cheen Sar Se Rida
Yeh Bint-e-Zahra Hai Zalim Yeh Bint-e-Zahra Hai

Sar Apna Peet Ke Roye Tarap Tarap Ke Habib
Suna Jo Bint-e-Ali Ne Salam Bheja Hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Ali Akbar, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Sacrifices of Karbala, Defending truth, Mourning the Ahlul Bayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.