Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zainab

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zainab is a traditional Urdu marsiya describing the arrival of Bibi Zainab (SA) and the captives of Karbala in Shaam. Through the laments of Bibi Zainab, Bibi Sakina and Bibi Rabab, the elegy recalls the martyrdom of Imam Hussain (AS), Ali Akbar (AS) and Ali Asghar (AS), and the suffering endured by the Prophet's family. Read the 15-stanza version in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zainab Lyrics

WA

Jab Aain Shaam Ki Basti Mein Nange Sar Zainab
Aseer-o-Muztar-o-Betaab-o-Nauhagar Zainab
Munh Apna Baalon Se Dhake Thin Oont Par Zainab
Yeh Ro Ro Kehti Thin Har Dam Ba-Chashm-e-Tar Zainab
Behen Hussain Ki Hoon, Fatima Ki Jaayi Hoon
Main Karbala-e-Mualla Se Lut Ke Aayi Hoon

Ujaar Maariya Mein Ho Gaya Chaman Mera
Bichhar Gaya Ali Akbar Sa Gul-Badan Mera
Hua Shaheed Har Ek Sher-e-Saf-Shikan Mera
Para Hai Bhai Bayabaan Mein Be-Kafan Mera
Nabi Ki Aal Ko Ahl-e-Jafa Ne Loot Liya
Hamare Kunbe Ko Ran Mein Qaza Ne Loot Liya

Hamare Pyaron Ko Mehmaan Bula Ke Maara Hai
Ali Ke Laal Ka Khanjar Se Sar Utaara Hai
Har Ek Shaheed-e-Jafa Tashnalab Sidhara Hai
Har Ek Gul Ka Badan Ran Mein Paara Paara Hai
Chaman Pe Fatima Ke Aa Gayi Khizaan Haaye Haaye
Nishaan-e-Murtazavi Ka Mita Nishaan Haaye Haaye

Hamari Thi Jo Ghizaat Ujar Gayi Haaye Haaye
Behen Hussain Se Ran Mein Bichhar Gayi Haaye Haaye
Hamari Deed Ki Soorat Bigar Gayi Haaye Haaye
Ek Aur Taaza Museebat Yeh Par Gayi Haaye Haaye
Bandhe Hain Haath, Munh Apna Chhupa Nahi Sakte
Yeh Zulm Hai Ke Zubaan Bhi Hila Nahi Sakte

Sawaar Oont Par Hain Aur Rida Nahi Sar Par
Chhupaye Rehte Hain Baalon Se Munh Ko Shaam-o-Sahar
Guzarte Hain Hamein Faaqe Pe Faaqe, Faaqon Par
Yeh Zoaf Hai Hamein Ghash Aate Rehte Hain Aksar
Jo Chadrein Bhi Koi Reham Kha Ke Deta Hai
To Shimr Aa Ke Usi Waqt Chheen Leta Hai

Yeh Bain Karti Thin Pusht Par Zainab-e-Dilgir
Qareeb Oont Ke Laaya Laeen Sar-e-Shabbir
Pakar Ke Haathon Se Dil Ko Tarap Gayin Hamsheer
Pukarin Bhai Bacha Lo Mujhe Kisi Tadbeer
Tumhare Marne Se Eeza Uthati Hai Zainab
Laeen Ke Saamne Sar Nange Jaati Hai Zainab

Sakina Boli Ke Amma Batao Main Qurbaan
Yeh Kis Ke Sar Se Phuphi Bain Karti Hain Eezaan
Pukaara Shah Ka Sar, Tum Ko Baap Ka Nahi Dhyaan
Bas Itne Roz Mein Hum Ko Bhula Diya Meri Jaan
Khabar Nahi Tumhein Yeh Bhooke Pyase Ka Sar Hai
Lahu Mein Gharq Nabi Ke Nawase Ka Sar Hai

Sakina Baali Ne Tab Haath Jor Kar Yeh Kaha
Ke Maaf Ho Meri Taqseer Ae Mere Baba
Ke Mujh Sitamzada Ne Tha Na Tum Ko Pehchana
Waram Se Aankhon Ke Mujh Ko Na Kuchh Dikhayi Diya
Tamache Shimr Ke Khaye Hain Baarha Maine
Rasan Se Zulm Ke Bandhwa Liya Gala Maine

Chheeni Hai Sar Se Rida Jo Sitam Hua Tujh Par
Ae Meri Laadli Naize Se Dekhta Tha Pidar
Liye The Shimr Ne Kaanon Se Jab Tere Gauhar
Tarap Rahi Thi Hamari Bhi Rooh Ae Dukhtar
Rawaan The Ashk Na Mujh Ko Qaraar Aata Tha
Sinaan Pe Mujh Ko Bhi Ghash Baar Baar Aata Tha

Yeh Keh Raha Tha Sar-e-Shah Aur Ashk The Jaari
Sar Aur Nanha Sa Naize Pe Laaya Ek Naari
Qareeb Bano-e-Muztar Ke Laaya Ek Baari
Pukaari Ro Ro Ke Us Ko Woh Dard Ki Maari
Ae Mere Laal Mere Be-Kafan Ghareeb Asghar
Sinaan Pe Charh Ke Ab Aaye Mere Qareeb Asghar

Yeh Doodh Bachchon Mein Kaisa Bhara Hai Ae Mere Laal
Lahu Se Tar Hue Kis Tarah Yeh Jhandule Baal
Aate Hain Khaak Mein Kaise Yeh Gore Gore Gaal
Dahan Khula Hai Ke Marne Mein Tashnagi Thi Kamaal
Kiya Na Khauf-e-Rasool-e-Khuda Laeenon Ne
Ghazab Hai Laash Pe Bhi Ki Jafa Laeenon Ne

Yeh Bano Kehti Thin Ro Ro Ke Sar Se Asghar Ke
Ke Na-Gahaan Sar-e-Sarwar Se Ashk Behne Lage
Sada Yeh Aayi Phir Halq-e-Burida Se Shah Ke
Mere Sagheer Pe Sach Hai Bahut Sitam Guzre
Zara Si Jaan Ki Khatir Yeh Zulm Thora Hai
Laeen Ke Teer Ne Nanhe Gale Ko Tora Hai

Hue Jo Hum Pe Sitam Un Ko Kya Kahein Tum Se
Charha Tha Seene Pe Qatil, Gala Tha Tegh Tale
Zubaan Pher Ke Honthon Pe Hum Dikhate The
Mili Na Paani Ki Ek Boond, Reh Gaye Pyase
Laeen Ki Tegh Se Jab Zibah Hum Hue Bano
Hamari Laash Pe Kya Kya Sitam Hue Bano

Yeh Bain Sun Ke Jigar Tukre Ho Gaya Sab Ka
Na Zabt Ho Saka Bano Ne Sar Ko Peet Liya
Dar-e-Yazid Pe Aaye Aseer Wa Waila
Phuphi Ka Abid-e-Bimar Ne Phir Ke Munh Dekha
Woh Bolin Dekh Ke Kyun Munh Ko Pher Rote Ho
Main Sadqe Kaahe Ko Tum Sharmsaar Hote Ho

Nahi Rida Jo Mere Sar Pe Is Ka Gham Na Karo
Bala Se Saamne Hakim Ke Le Chalo Mujh Ko
Bandhe Hain Haath Jo Rassi Se Munh Se Kuchh Na Kaho
Jhukaye Sar Ko Ghareebi Se Bekasi Se Chalo
Zubaan Pe Harf-e-Shikayat Na Layegi Zainab
Isi Tarah Sar-e-Darbar Jayegi Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.