Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jab Karbala Ki Simt Barha Haq Ka Rehnuma

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Jab Karbala Ki Simt Barha Haq Ka Rehnuma depicts Imam Hussain’s farewell at his mother’s grave and the sorrowful journey toward Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Jab Karbala Ki Simt Barha Haq Ka Rehnuma Lyrics

WA

Jab Karbala Ki Simt Barha Haq Ka Rehnuma
Kuch Aa Gaya Khayal Jo Maa Ke Mazar Ka
Aaya Su-e-Baqi Woh Zahra Ka Ladla
Rukhsar Rakh Ke Sadr-e-Lahad Par Yeh Di Sada
Chhootta Hai Ab Madina Mere Dil Ko Thaam Lo
Amma Ghareeb Bete Ka Aakhri Salam Lo

Amma Tumhare Laal Se Chhootta Hai Aaj Ghar
Amma Tumhare Laal Ka Dushman Hai Har Bashar
Amma Tumhare Laal Se Bargashta Har Nazar
Amma Tumhare Laal Ka Hai Aakhri Safar
Sehra Mein Dil Ke Tukron Ki Basti Basayega
Amma Hussain Ab Na Madine Mein Aayega

Amma Dua Karo Ke Main Sabit-Qadam Rahoon
Duniya Khilaf Ho Par Hirasan Zara Na Hoon
Har Lamha Muskura Ke Sitam Par Sitam Sahoon
Nazron Ke Samne Jo Lute Ghar Na Kuch Kahoon
Amma Yeh Aankh Roye Na Akbar Ke Waaste
Raasha Na Aaye Haath Mein Asghar Ke Waaste

Amma Mere Iradon Ko Aaye Na Kuch Zawaal
Jis Waqt Paemal Ho Bhaiya Hasan Ka Laal
Amma Na Kanp Uthe Yeh Qadam Bed Ki Misal
Ghode Se Jab Giren Meri Khwahar Ke Nau-Nihal
Amma Kamar Jhuke Na Tumhare Fidai Ki
Laaun Jo Laash Utha Ke Barabar Ke Bhai Ki

Maa Se Yeh Keh Raha Tha Abhi Maa Ka Ladla
Aawaz Aayi Qabr Se Aye Mere Mah-Laqa
Sadqe Teri Musibat-o-Ghurbat Pe Fatima
Bas Aye Hussain Bas Ke Hila Arsh-e-Kibriya
Tarpe Abul Hasan Bhi Dil-e-Beqarar Se
Beta Rasool-e-Haq Nikal Aaye Mazar Se

Aye Mere Laal Tere Iradon Ke Main Nisar
Yeh Aakhri Safar Hai Mere Dil Ka Iztirar
Kaise Kahoon Jo Dil Pe Guzarti Hai Gul-Azar
Hota Hai Be-Charagh Mere Baap Ka Mazar
Jo Tujh Pe Zulm Honge Yeh Dukhya Uthayegi
Beta Yeh Gham-Naseeb Tere Saath Jayegi

Aansu Bahaungi Tere Ranj-o-Alam Ke Saath
Aankhen Bichhaungi Tere Naqsh-e-Qadam Ke Saath
Zahra Nidhal Hogi Har Ek Taza Gham Ke Saath
Mera Kaleja Niklega Pote Ke Dam Ke Saath
Ghabra Na Mere Chand Har Ek Dukh Bataungi
Main Tere Saath Laash-e-Akbar Uthaungi

Jayega Tu Jo Nehr Pe Bhai Ki Laash Par
Main Tere Saath Saath Chalungi Barehna-Sar
Beta Hussain Kya Tujhe Is Ki Nahi Khabar
Abbas Tera Bhai To Mera Dil-o-Jigar
Tu Laash Uthayega To Saf-e-Gham Bichhaungi
Main God Mein Kate Huye Haathon Ko Laungi

Beta Hasan Ke Laal Ki Khatir Yeh Kya Khayal
Mere Hasan Ne Tujh Pe Nichhavar Kiya Woh Laal
Fidye Ke Waaste Koi Karta Hai Yun Malal
Beta Main Us Ghari Bhi Rahungi Shareek-e-Haal
Gham Har Qadam Utha Ke Dil-e-Pash-Pash Ke
Tukre Chunungi Ran Se Main Qasim Ki Laash Ke

Haan Mere Ladle Meri Zainab Se Hoshiyar
Be-Parda Ho Na Jaye Kahin Meri Parda-Dar
Mehmil Ke Saath Saath Ho Abbas Zee-Wiqar
Takeed Ho Yeh Akbar-e-Mehru Ko Baar Baar
Aamada Har Qadam Pe Rahe Peshwayi Ko
Takleef Ho Na Raah Mein Zahra Ki Jayi Ko

Jaa Marqad-e-Rasool Pe Aye Mere Lala-Fam
Lazim Hai Nana-Jaan Ko Bhi Aakhri Salam
Dena Meri Taraf Se Yeh Hasrat-Bhara Payam
Mumkin Nahi Madine Mein Zahra Kare Qayam
Tum Bhi Lahu Mein Apna Chaman Dekhne Chalo
Zainab Ke Bazuon Mein Rasan Dekhne Chalo

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Ali Asghar, Hazrat Qasim, Sayyida Zainab, Prophet Muhammad, Imam Hasan
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Farewell to Madina, Journey to Karbala, A mother’s sorrow
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.