Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Shauq-e-Shahadat Ka Kiya Hurr-e-Jari Ne

Urdu
UrduMuharram
Jab Shauq-e-Shahadat Ka Kiya Hurr-e-Jari Ne is a traditional Urdu marsiya about Hazrat Hurr (AS), his request for permission to fight at Karbala, and the grief of Bibi Zainab (SA). It describes Hurr's devotion to Imam Hussain (AS), his concern for the women of the Ahlulbayt, and his final conversation with the Imam. Read the seven-stanza edition in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Jab Shauq-e-Shahadat Ka Kiya Hurr-e-Jari Ne Lyrics

WA

Jab Shauq-e-Shahadat Ka Kiya Hurr-e-Jari Ne
Di Us Ko Riza Sibt-e-Rasool-e-Arabi Ne
Zainab Ko Bhi Khaime Mein Khabar Di Yeh Kisi Ne
Ro Ro Ke Yeh Irshad Kiya Bint-e-Ali Ne

Kya Rang Zamana Mujhe Dikhlata Hai Haaye Haaye
Mehman Bhi Marne Ke Liye Jata Hai Haaye Haaye

Itne Mein Kaha Fizza Ne Darwaze Se Aa Kar
Hazir Dar-e-Daulat Pe Hai Ab Hurr-e-Dilawar
Aadab Baja Lata Hai Aur Kehta Hai Ro Kar
Bakhshen Mujhe Jageer-e-Jina Dukhtar-e-Haider

Zainab Ne Kaha Sar Pe Yeh Ilzam Na Loongi
Sab Kuchh Use Doongi Par Riza Ran Ki Na Doongi

Ja Kar Meri Janib Se Yeh Keh Us Se Tu Is Aan
Marne Abhi Na Ja Ae Mere Mehman
Bekas Ka Madadgar Hai Tu Tujh Pe Main Qurban
Par Meri Himayat Ka Bhi Kuchh Tujh Ko Rahe Dhyan

Syed Ke Ewaz Sar Ka Katana Bhi Hai Achha
Syedani Ki Chadar Ka Bachana Bhi Hai Achha

Sunti Hoon Ab Do Pahar Ae Hurr Jo Dhalegi
Talwar Payambar Ke Kaleje Pe Chalegi
Masnad Mere Bhai Ki Mere Aage Jalegi
Tu Hoga To Chadar Meri Yeh Fauj Na Legi

Mahshar Mein Yeh Kehti Hui Uthungi Lahad Se
Parda Mera Aafat Mein Bacha Hurr Ki Madad Se

Hurr Ne Kaha Har Tarah Se Mushkil Hai Mujhe Haaye
Behtar Hai Yehi Pehle Sar Is Bande Ka Kat Jaye
Shehzadi Ho Be-Parda Na Aaqa Pe Bala Aaye
Sar Peet Ke Zainab Giri Aur Boli Ke Ae Waaye

Bechain Hai Hurr Shauq Mein Firdaus-e-Ula Ke
Syedaniyo Rukhsat Karo Mehman Ko Aa Ke

Allah Nigehban Har Ek Bibi Pukari
Aaqa Se Kaha Hurr Ne Ba-Sad Girya-o-Zari
Ab Aakhri Ek Arz Hai Khidmat Mein Tumhari
Aana Na Uthane Ke Liye Laash Hamari

Faqon Mein Kahan Dhoondhte Laashe Ko Phiroge
Tarpegi Meri Rooh Jo Ghash Kha Ke Giroge

Shah Ne Kaha Lipta Ke Hurr Ko Yeh Muqarrar
Kya Faqon Mein Kam Ho Gayi Himmat Bhi Baradar
Shabbir Hai Abbas Hai Qasim Hai Aur Akbar
Kandhe Pe Utha Layenge Yeh Sab Tujhe Mil Kar

Ae Hurr Tere Murde Ke Waris Nahi Kam Hain
Jis Ka Koi Laasha Na Uthayega Woh Hum Hain

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.