Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Maalik-e-Saltanat-e-Kufa Jo Mukhtar Hue

Urdu
UrduMuharram
Maalik-e-Saltanat-e-Kufa Jo Mukhtar Hue is a traditional Urdu marsiya portraying Mukhtar al-Thaqafi confronting Hurmala over the tragedy of Karbala. It recounts the suffering of Hazrat Abbas, Ali Asghar, Imam Hussain and Bibi Zainab.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Maalik-e-Saltanat-e-Kufa Jo Mukhtar Hue Lyrics

WA

Maalik-e-Saltanat-e-Kufa Jo Mukhtar Hue
Intiqam-e-Shohada Lene Pe Taiyar Hue
Jitne Qatil The Shah-e-Deen Ke Giraftar Hue
Mominon Se Jo Lare Kufi Woh Finnar Hue
Us Ne Chun Chun Ke Har Ek Bani-e-Shar Ko Maara
Khawli-o-Shimr-o-Sinan Aur Umar Ko Maara

Ek Din Kufe Ke Bazaar Mein Yeh Shor Hua
Ho Gayi Hazrat-e-Sajjad Ki Maqbool Dua
Hurmala Qaid Hua Shukr-e-Khudawand-e-Ala
Laaye Mukhtar Ke Aage Jo Use Ahl-e-Wafa
Poochha Kyun Arsh-e-Mualla Ko Hilaya Zalim
Teer Masoom Ko Kyun Tu Ne Lagaya Zalim

Jo Sitam Tu Ne Kiye Un Ka Mujhe Haal Suna
Haathon Ko Jor Ke Yeh Us Sitam-Aara Ne Kaha
Teer Chhe The Mere Tarkash Mein Watan Se Jo Chala
Teen Teeron Ne To Ki Ran Mein Nishane Se Khata
Hoon Muqir Aal-e-Payambar Ko Sataya Main Ne
Teen Teeron Ko Nishane Pe Lagaya Main Ne

Ek To Mashk Ko Jab Le Ke Alamdar Chala
Soorat-e-Sher Soo-e-Sayyid-e-Abrar Chala
Kat Gaye Shaane Jo Talwar Ka Ek Waar Chala
Mashk Ko Daanton Se Pakre Hue Jarrar Chala
Meri Bedaad Se Bachchon Ne Na Paaya Paani
Teer Ek Maar Ke Sab Main Ne Bahaya Paani

Doosre Teer Ka Ab Haal Main Karta Hoon Bayan
Laaye Asghar Ko Jo Maidan Mein Shah-e-Do-Jahan
Is Qadar Pyas Ki Shiddat Thi Ke Ainthi Thi Zaban
Us Ko Haathon Pe Utha Kar Kiya Shah Ne Yeh Bayan
Tum Ko Khauf-e-Ghazab-e-Khaliq-e-Qahhar Nahi
Main Khata-Kar Hoon Bachcha To Khata-War Nahi

Bint-e-Ahmad Ko Na Madfan Mein Rulao Logo
Chhoro Ghaflat Ko Rah-e-Raast Pe Aao Logo
Mere Dukhte Hue Dil Ko Na Dukhao Logo
Paani Thora Sa Tum Asghar Ko Pilao Logo
Pyasa Sab Kunbe Ke Hamrah Yeh Masoom Bhi Hai
Yeh Musafir Bhi Hai Sayyid Bhi Hai Mazloom Bhi Hai

Mutawajjeh Na Hua Koi Miyan-e-Lashkar
Tab Kaha Shah Ne Asghar Se Ba-Deeda-e-Tar
Mujh Ko Deta Nahi Paani Koi Ae Noor-e-Nazar
Go Ho Kam-Sin Pe Ho Tum Hujjat-e-Khaliq Ke Pisar
Pyas Ka Apni Yaqeen Un Ko Dila Do Asghar
Tum Bhi Nanhi Si Zaban Apni Dikha Do Asghar

Jab Ibn-e-Saad Ne Lashkar Mein Talatum Dekha
Aaya Ghabraya Hua Paas Mere Aur Yeh Kaha
Jald Kar Kaam Tamam Is Ka Na Kar Der Zara
Main Ne Ek Teer-e-Seh-Pehlu Jo Udhar Ko Phenka
Mere Ek Teer Ne Donon Ko Barabar Tora
Bazu-e-Shah Gulu-e-Ali Asghar Tora

Jab Gulu-e-Ali Asghar Pe Para Mera Teer
Munqalib Shah Ke Haathon Pe Woh Tarpa Be-Sheer
Dekh Kar Charkh Ko Kis Yaas Se Roye Shabbir
Aur Ro Kar Kaha Hazrat Ne Ke Ae Rabb-e-Qadeer
Naujawanon Ka To Fidya Hua Akbar Mera
Shiyon Ke Bachchon Pe Qurban Hua Asghar Mera

Teesra Teer Jo Tha Us Ka Sun Ab Haal Ameer
Jab Zameen Par Gire Ghore Se Janab-e-Shabbir
Kheench Kar Khanjar-e-Bedaad Barha Shimr-e-Shareer
Nikli Us Waqt Dar-e-Khaima Se Shah Ki Hamsheer
Ro Ke Kehti Thi Ke Woh Haq Ka Fidaai Hai Kahan
Koi Allah Bata De Mera Bhai Hai Kahan

Door Se Haal Yeh Sab Dekh Raha Tha Jo Umar
Shimr Ko Reham Na Aa Jaye Hua Us Ko Yeh Dar
Paas Tha Main To Yeh Kehne Laga Woh Kheera-Sar
Kisi Tadbeer Se Ab Rok Ise Der Na Kar
Sun Ke Yeh Teer Ko Chille Se Milaya Main Ne
Aur Soo-e-Zainab-e-Dilgeer Chalaya Main Ne

Teer Yeh Shana-e-Zainab Pe Para Haaye Ghazab
Munh Ke Bal Gir Pari Woh Dukhtar-e-Sultan-e-Arab
Aur Chillayi Ke Bar Aaya Na Mera Matlab
Bhai Ab Aa Nahi Sakti Hai Wahan Tak Zainab
Kis Tarah Aap Talak Aaye Hai Door Behen
Kis Tarah Tum Ko Bachaye Ke Hai Majboor Behen

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.