Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Maan Se Asghar Wida Hote Hain

Mir Ta'ashshuq

Urdu
UrduMuharram
Maan Se Asghar Wida Hote Hain is a classical Urdu marsiya by Mir Ta'ashshuq, portraying the farewell of Hazrat Ali Asghar (AS) from his mother Bibi Rabab (SA) during the tragedy of Karbala. The verses convey a mother's prayers, her messages for her loved ones, and her anxious waiting for news of her child. Read the five-stanza version in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Maan Se Asghar Wida Hote Hain Lyrics

WA

Maan Se Asghar Wida Hote Hain
Dekhne Wale Jaan Khote Hain
Haram Ashkon Se Munh Ko Dhote Hain
Bose Le Le Ke Shah Rote Hain
Ran Ko Jate Ho Maan Bulati Hai
Haath Phailaye Saath Aati Hai

Dam-Ba-Dam Yeh Labon Pe Hai Jari
Ali Asghar Kahan Chale Wari
Hai Wahan Jama Firqa-e-Nari
Hafizo Nasray Zaday Bari
Umar Khaliq Siwa Naseeb Kare
Ghar Mein Aana Khuda Naseeb Kare

Khoob Is Waqt Mujhko Yaad Aaya
Wahan Mulaqat Ho Jo Mah-Laqa
Bhai Ko Poochh Lijiyo Beta
Kehiyo Maan Ne Tumhein Ki Hai Dua
Dhyan Itna Rahe Zara Asghar
Ji To Achha Hai Poochhna Asghar

Ali Asghar Yeh Maan Tere Qurban
Behne Hain Muntazir Yeh Kejiyo Bayan
Hai Phuphi Ko Bara Tumhara Dhyan
Pyare Tum Mein Lagi Hui Hain Jaan
Kehiyo Dil Gham Se Choor Hai Bhai
Dekh Aana Zaroor Hai Bhai

Tan Se Hai Rukhsat Tawanai
Chashm-e-Tar Se Juda Hai Beenai
Shah Ko Poochhti Hai Kyun Bhai
Mere Bachche Ki Kuchh Khabar Aayi
Kis Taraf Ko Gaya Khuda Jaane
Wahan Ki Rahein Bhala Woh Kya Jaane

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.