Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro

Irfan Haider

2023Urdu
2023UrduMuharram
Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro is a 2023 Noha recited by Irfan Haider with poetry attributed to Zeeshan Abidi. It portrays the suffering of Bibi Sakina (SA), the young daughter of Imam Hussain (AS), during captivity following Karbala, including her wounded face, separation from her father and imprisonment in Shaam. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2023
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro

Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mai Sakina Hoon Mujhay Na Maro

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye
Betiyon Walo Suno

Ek Shehenshah Ki Beti Ka Safar
Har Tamache Pe Jo Kehti Thi Yehi Ro Ro Kar
Baba
Baba
Baba, Baba

Jaan Baba Ki Woh Shehzadi, Ghazi Ki Bhatiji
Haaye Pardes Mein Bichhri Baba Se Woh Bachchi
Karbala Se Jo Chali Shaam Talak Roti Hui
Haath Gaalon Pe Rakhe Jab Bhi Jahan Se Guzri
Jis Ne Chaha Use Maara Woh Yehi Kehti Rahi

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Baad Baba Ke Jab Shaam-e-Ghareeban Aayi
Khaimon Mein Qayamat Laayi
Haaye
Tum Ne Chheeni Meri Baliyan
Khoon Hai Kaanon Se Ab Bhi Rawaan
Aur Kurta Bhi Jala Mera

Chheen Li Sar Se Rida Qaidi Banaya Tum Ne
Phir Gala Baandh Ke Panjon Pe Chalaya Tum Ne
Kabhi Chalte Hue Naaqe Se Giraya Tum Ne
Main
Ab Yateema Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Mere Ammu Ko Yeh Manzar Na Dikhao Zalimo
Gir Jayega Sar Naize Se
Haaye
Dekho Zakhmi Hai Chehra Mera
Raah Mein Itna Maara Gaya
Kuchh To Ehsaas Karo Mera

Sar-e-Abbas Ke Yun Aage Na Lao Mujh Ko
Kheench Kar Baal Tamache Na Lagao Mujh Ko
Kaun Hai Kis Se Kahun Aao Bachao Mujh Ko
Main
Be-Sahara Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Kam-Sini Mein Bhi Nazar Aati Hoon Dadi Jaisi
Gham Itne Sahe Maine
Haaye
Dekho Girti Sambhalti Hoon Main
Ab Sahare Se Chalti Hoon Main
Kitna Mushkil Hai Safar Mera

Chaar Barson Mein Hi Ghurbat Ka Ajab Aalam Hai
Mere Baalon Mein Safedi Hai Kamar Kham Hai
Saans Leti Hoon To Lagta Hai Labon Par Dam Hai
Main
Ab Zaeefa Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Qaidkhane Mein Jab Aayi To Yeh Manzar Dekha
Har Simt Andhera Tha
Haaye
Phir Sakina Ne Ro Kar Kaha
Haaye Dam Mera Ghutne Laga
Mujh Ko Le Jao Mere Baba

Phir Kaha Shimr Yeh Zindan Jise Kehte Hain
Kya Meri Umr Ke Bachche Bhi Yahan Rehte Hain
Yaad Baba Ki Jab Aaye To Sitam Sehte Hain
Main
Ek Dukhiya Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Haaye
Ek Din Aisa Bhi Aaya Dar-e-Zindan Khula
Samne Beti Ke Jab Baap Ka Sar Laya Gaya
Zakhmi Chehre Pe Sakina Ke Gire Jab Aansu
Shabbir Ne Aankhein Kholi
Haaye
Munh Pe Beti Ne Jab Munh Rakha
Baap Ke Sar Se Aayi Sada
Tujh Pe Qurban Tera Baba

Kaisi Zeeshan Aur Irfan-e-Aza Ghurbat Thi
Beti Khamosh Hui Sun Ke Sada Baba Ki
Lene Aaya Hoon Tumhein Ab Na Kahogi Bibi
Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro

Main
Main Sakina Hoon Mujhe Na Maaro
Main
Chhoti Zahra Hoon Mujhe Na Maaro
Haaye Sakina, Haaye Sakina, Haaye Sakina

Haaye Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.