Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai

Mir Mustahsan Khaliq

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai is a traditional Urdu marsiya portraying Bibi Sakina's (SA) lament beside the body of her father, Imam Hussain (AS), in Karbala. The verses recount the wounds inflicted upon Sakina, the suffering of Imam Zainul Abidin (AS), and the grief of Bibi Zainab (SA). Read the eleven-stanza version in Roman Urdu, Urdu script and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai Lyrics

WA

Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai
Maati Ke Upar Gardan Kyun Tum Ne Jhukaayi Hai
Tasleem Ko Sar-Nange Yeh Laadli Aayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Main Bhooli Nahi Tum Ko Tum Bhool Gaye Mujh Ko
Main Dekhti Hoon Tum Ko Tum Bhi To Zara Dekho
Ae Daad-Ras-e-Aalam Zalim Se Zara Poochho
Kaanon Se Mere Nadi Kyun Khoon Ki Bahaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Tha Kaanon Mein Jo Mere Woh Tum Ne Gohar Daala
Us Ke Liye Zalim Ne Zakhmi Mujhe Kar Daala
Ujla Sa Mera Kurta Sab Khoon Mein Bhar Daala
Kya Khaak Pe Sote Baba Ji Duhaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Beti Ko Koi Baba Yun Bhool Bhi Jaata Hai
Nanhe Se Kaleje Ko Yun Koi Dikhaata Hai
Matam-Zada Dukhiya Ko Yun Koi Sataata Hai
Jo Tum Ne Mujhe Eeza Furqat Ki Dikhaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Main Dyodhi Pa Jab Aa Ke Maidan Ko Takti Thi
Neze Nazar Aate The Talwar Chamakti Thi
Amma Se Main Yeh Keh Ke Sar Apna Patakti Thi
Shayad Mere Baba Se Is Waqt Laraai Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Bekas Mere Bhai Ko Yeh Zulm Hai Dikhlaaya
Ek Tauq-e-Garan Us Ki Gardan Mein Pehnaaya
Tum Jab Se Gaye Us Ne Aaram Nahi Paaya
Oonton Ki Mahar Us Se Zalim Ne Khinchwaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Zainab Phoophi Amma Ki Kya Tum Se Kahun Zaari
Kis Dard Se Roti Thi Ashtar Pa Woh Dukhiyaari
Aur Raat Ko Byaahi Hai Jo Meri Behen Pyari
Randon Ki Si Shakal Us Ne Ab Apni Banaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Yeh Kehti Sakina Thi Jo Bano Yeh Bol Uthi
Shabbir Nahi Jeete Yeh Laash Hai Ae Beti
Tab Peet Ke Zaanu Ko Kehne Lagi Woh Bachchi
Baba Pa Mere Kis Ne Talwar Chalaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Main Aah Rahi Soti Thi Kaisa Yeh Ghazab Aaya
Main Jeeta Samajhti Thi Baba Ko Mua Paaya
Woh Kaun Sa Zalim Tha Dukh Jis Ne Yeh Dikhlaaya
Soorat Mere Baba Ki Maati Mein Milaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Faryaad Karun Kis Se Afsos Sitam Toota
Ab Baap Se Main Chhooti Aur Mujh Se Padar Chhoota
Samjha Na Yeh Woh Baghi Jis Ne Yeh Chaman Loota
Gulzar-e-Muhammad Pe Kya Tegh Chalaayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Yeh Kehti Sakina Thi Jo Fauj Ne Aa Ghera
Maqtal Se Soo-e-Kufa Oonton Ke Tain Phera
Aage Kahun Ab Kya Main Phatta Hai Jigar Mera
Bewon Ne Khaliq Eeza Jo Shaam Mein Paayi Hai
Maqtal Mein Khadi Kehti Shabbir Ki Jaai Hai
Laashe Par Tere Baba Qismat Mujhe Laayi Hai

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.