Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Maula Hussain Jaan

Ali Jee

2026Urdu
2026Urdu
Maula Hussain Jaan is a 2026 Manqabat recited by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, and Ali Jee. This devotional kalaam praises the name, rank, light, and spiritual greatness of Imam Hussain (AS), describing him as the beloved of Mustafa, the king of hearts, and the eternal symbol of divine love. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Maula Hussain Jaan on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Maula Hussain Jaan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maula Hussain Jaan

Maula Hussain Jaan

Ali Jee · Ali Shanawar · Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Maula Hussain Jaan

Ali Jee · Ali Shanawar · Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jaanam Hussaina ay Janaan-e-Mustafa ×2
Jaanam Hussaina marhaba Hussain Maula
Uncha tumhara maqam Maula Hussain Jaan
Tum par Durood-o-Salaam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara naam tumhara
Sabka hai naara Maula hamara

Badshahon mein bhala hai kaun aisa badshah
Jis ke naukar ho farishte, Awliya jis ke gada
Arsh wale, farsh wale ho sabhi jis par fida ×2
Har dil mein jis ka qayam Maula Hussain Jaan
Hum sab hain jis ke ghulam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan

Jis ka shajarah ba-Khuda saare ka saara noor ka
Baap, bhai, maa bhi noori aur Nana noor ka
Bacha bacha noor ka, saara gharana noor ka ×2
Kis ka hai ye ehtimam Maula Hussain Jaan
Roshan hai kis ka ye naam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan

Ya Hussain, itna duaon mein asar tu de de
Apne naukar ko ghulami ka samar tu de de
Main samandar bhi kisi ghair ke haathon se na loon
Aur qatra bhi samandar hai agar tu de de
Sab ka hai Sain Sarkar Ya Hussain
Ishq-e-Khuda mein sarshar Ya Hussain
Kehta hai saara sansar Ya Hussain
Ishq ki had tu ne paar kar di
Deen ki zameen gulzar kar di
Mera naara, nazara, sahara, guzara
Hamara tumhara
Sardar Ya Hussain
Pyara Hussain, mera pyara Hussain
Maula Hussain, mera Maula Hussain

Aasmaan pe chand nikla teesri Shaban ka
Ghar mein Zahra ke khila hai phool ye imaan ka
Aagaya dekho nawasa Deen ke Sultan ka ×2
Teesra aaya Imam Maula Hussain Jaan
Rab ka hai humko inaam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan

Saltanat hai ishq ki, Sultan Shah-e-Karbala
Dhadkanon mein goonjta hai naam jis ka ba-Khuda
Ja baja saare jahan mein kaam jis ka chha gaya ×2
Sab ka hai takiya kalaam Maula Hussain Jaan
Zinda rahega ye naam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan

Woh jo lakhon se na haara, kaun hai? Bas Ya Hussain
Maut ko jis ne hai maara, kaun hai? Bas Ya Hussain
Jo na ban paya dobara, kaun hai? Bas Ya Hussain ×2
Bolo ba-sad ehteram Maula Hussain Jaan
Hazrat Alayhis-Salaam Maula Hussain Jaan
Pyara pyara hai ye naam Maula Hussain Jaan

Tere ishq mein jo bhi doob gaya
Bas us ka beda paar hua
Jis dil mein basa hai pyar tera
Woh jannat ka haqdar hua
Ye maal-o-zar, sona chandi
In sab ki haqeeqat kuch bhi nahi
Rab us ko mila, sab us ko mila
Jo Maula ka hubb-daar hua

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2026
Languages
Urdu
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.