Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Pata Nahi Ye Kya Hai

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008UrduImam Ali
Pata Nahi Ye Kya Hai is an Urdu Manqabat recited by Nadeem Sarwar, associated with his 2008 repertoire. The contemplative verses reflect on the spiritual greatness of Imam Ali (AS), the relationship between divine guidance and Wilayat, his birth in the Kaaba and the events surrounding the Prophet's Meraj. The recurring question expresses wonder at mysteries that ordinary human understanding cannot encompass.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2008
Personalities
Imam Ali
Original
Urdu

Lyrics

Pata Nahi Ye Kya Hai Lyrics

WA

Yeh dil sochta hai, yeh dil khojta hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Hijabon ke andar, hijabon se baahar
Naqaabon ke andar, naqaabon se baahar
Nazar jo na aakar nazar aa raha hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Yeh kiski zabaan se Khuda bolta hai
Yeh kiska hai lehja, yeh kiski sada hai
Chhupa kaun hai aur kaun zaahir hua hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Tum apni nazar se Ali ko na dekho
Ali ko samajhne se pehle yeh samjho
Jo marte hue Shafai keh gaya hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Ke ho Kibriya ya ke ho woh Payambar
Woh ho Sayyeda ya ho Shabbir-o-Shabbar
Hai inke siwa kaun kis par khula hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Yeh Ismat ki wahdat, Khuda ki haqeeqat
Wali ki sifat, Ambiya ki haqeeqat
Khuda ki qasam bas yehi jaanta hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Samajh mein to aa jaaye tab woh Ali hai
Khuda to Khuda hai, Ali to Ali hai
Nusairi ko aakhir yeh kya ho gaya hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Yeh Kaabe ki deewaar mein dar bana ke
Ghar apna samajh kar yeh ghar mein Khuda ke
Khuda to nahin hai yeh kaun aa raha hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Jise apne bistar pe aaye sula kar
Falak pe yeh dekha Muhammad ne aakar
Wahaan to Ali tha yahaan par yeh kya hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Naveed aur Sarwar Khuda jaanta hai
Yeh asraar-e-Tauheed kis par khula hai
Faqat sochna hai, faqat sochna hai
Pata nahin yeh kya hai, pata nahin yeh kya hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2008
Personalities
Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.